6 Gujarati,Hindi and English Poetry by pkshah

================================ Shah Pravinchandra Kasturchand's Hindi Poetry ================================


==================
jo bolanaa hai vah apanaa kaam!
to kyo^ na bole raamaka naama!

shaah praveeNacha^dra kasturacha^d
=====================================

"lage raho" bas apane apane kaamame^!
kyaa pataa mile naa mile aaraamame^? 

10/29/2006
============================
sab kuchhato hai yahaa^!

shaah praveeNacha^dra kasturacha^d
==================================

rahaneko hai saaraa jahaa^!
khaaneko hai havaa yahaa^!
peeneko hai bahatee nadiyaa^
kuchh aur ab kyaa chaahiye?

3/28/2006
============================
=========================
sukh hai apanee jebame^!!

shaah praveeNachandra Kasturachand
==================================

mai^ rahataa hoo^ meree kuTirame^!
aap rahate^ hai^ apane bhavaname^!
mai^ hoo^ sukhee meree kuTiyaame^!
aap hai^ sukhee apane bhavaname^!
rahaneko kyaa kuTir ho,yaa bhavan,
rahanaa sukhame^ hai apane basame^!

9/24/2006 
===================================

============================
sab kuchhato hai yahaa^!

shaah praveeNacha^dra kasturacha^d
==================================

chalaneko hai saaraa jahaa^
khaaneko hai havaa bhi yahaa^
peeneko hai bahatee nadiyaa^
kuchh aur ab chaahiye kyaa?

3/28/2006
============================

=====================
sab eDeeTar yahaa^!
shaah praveeNachandr kasturachand
==========================================

chhaa gayaa hai eesakadar ee^TaraneT!
har koee ban gayaa hai mahaan eDeeTar!
likhe,chhaape khud,naa jaruree jaa.khabar!
magan apaneaapame^.duniyaase rahe bekhabar !!

jaanyuaaaree 04,2007
=========================================== 
 

=========================
raaste^ kabhee chalate nahee^
manjhile^bhee hilatee nahee^
eenako paakar kyaa karoge?
rakho bharosaa apane kadamo^ par!

12/15/2006

===========================
ye rivaajo^kee duniyaa hai,hai rivaajo^kee, ye duniyaa;
ek doojeko apanaa banaanaa chaahatee hai, ye duniyaa;
apanepanako ba^dhan kabhee maanatee nahi, ye duniyaa;
naataa toDananaa achchhaa samajhatee nahi, ye duniyaa.
najariyaa badal Daalo, samajhanaa aasaan hai, ye duniyaa.
har mushkilame^ saath detee  rahatee hai ye duniyaa.

june 30,2005
===========================
========
beTee-bahoo

shaah praveeNcha^dra katurcha^d
===========================
laDakaa laDakeese milataa hai
laDakee laDakese milatee hai
agar baat jo Theek ho jaatee hai
to dono^kee shaadee ho jaatee hai! 

maa,baap, bhaaee,bahan,joonaa ghar
sab kuchh peechhe chhooT jaataa hai.
saas,swasur,jeTh,dewar,nanad,nayaa ghar
sab kuchh nayaa mil jaataa hai!

saas maa,swasur baap,dewar bhaaee,
nanad bahanaa aur uparase pyaaraa var;
pyaaree raate^,pyaaree baate^,beTee,beTe,
kitanaa kuchh paatee hai aur detee hai?

sab salaamat baapake ghar jaise apanaa hee hai
jaise bai^kame^ kaayamee fiKsh Deepojheet hai;
aur chaalu khaataa nayaa ghar jo apanaa hee hai
kaun kahegaa laDakee sab chhoD nayaa basaatee hai?

saasakee bahoo, nanad-dewarakee bhaabhee
pritamakee priyaa,apane beTe beTeekee maiyaa,
baapakee beTee ban jaatee hai kyaase kyaa ?
jagame^ laDakee eesiliye to pyaaree hotee hai!

6/24/2005
===========================

=========================================
kyaa lekar aayethe? kyaa lekar jaanaa hai?
sabakaa sab yahaa^ chhoDakar jo jaanaa hai!
 5/26/2005
=========================================
======
haiku
======
===============
badaree nabh
khele aa^khmichaulee
baadal sa^g!
===============
shwet paTal
laal, peelaa, dhawal,
sab dikhaataa!
===============
hamaare ghar
aap? chaa^d ootaraa
nabhase neeche !
===============
deepame^ baatee
soee; darame^ saa^p
soyaa ho jaise!
===============
vaaJhame^ phool
heelaa;baagame^ phool
aakra^d kare!
===============
Tebal par
jaam taras rahaa;
jal hee sahee!
===============
kookar maare
seeTee; ho hoshiyaar;
aabh faTegaa!
===============
dhu^vaadhaar hai
dhodh;jal gaayab!
keval rav!
===============
vRikshake neeche
dar;darame^ saa^p;
baapa re baap!
===============
saa^p shaakhape
baiThaa;chakalee neeD
chee^ chee^ karatee!
===============
mor gahekaa
van;aabh barase
anaraadhaar!
===============
kaun kahataa
nahi?muTThee khol do;
hawaa hee hawaa!
===============
ham to chale^
ghar;aap kyo^ chale^?
kahaa^ hai ghar?
===============
diyaa telakaa
gaayab; laalTen bhee;
beejalee bole!
===============
===============
=========================
sapano^kee raanee					
=========================

jab bhee chaaho, mere khwaabome^ aao
jab bhee chaaho,vaapas apane ghar jaao;
ye khwaabo^ke mahal, nagar, ye upavan
mere baapake nahi; kabheebhee aao jaao. 

7:04 PM 5/10/2005
=========================


ab baakee kyaa rahaa?				
===============

shamaa booz gayee,paravaanaa bhee jal gayaa
chalo ghar chale^, kissaa sab khatm ho gayaa !

10:03 AM 5/12/2005
=============================

pyaar kaa saar					
=========

jaroor kare^ge ham to pyaar, baar baar
kyaa mar jaaye^, jab tum karado inkaar?
eetnaa baDaa jahaa^me^,tu akelee nahi;
tu nahi to aur sahee,aur sahee ek hazaar.
jaroor kare^ge ham to pyaar, baar baar !

10:11 AM 5/12/2005
========================

sab ek samaan					
===============

sab dharam samaan
sabakaa ho sanmaan
na meraa baDaa hai
yaa nahi teraa baDaa
sabhee hai ek samaan
sabakaa ho sanmaan !

10:57 AM 5/12/2005
================

sawaal						
=======================
ye aashiqi ek cheej koee kamaal hai
kabhee ye gamame^ maalaamaal hai
to kabhee shakuname^paayamaal hai
ye aashiqi baDaa khaDaa sawaal hai !

11:53 AM 5/13/2005
=======================

======================
Vakt vaktakee baat hai !
======================

jab mai.n ek chhoTee bachchee thee
paas mere ek chhoTee guDiyaa thee
sab kahate yeh umra kachchee thee
par ham dono bilkul sachchee thee !

ab mai.n paDhlikhkar baDee ho gaee
shaadee ho gaee,ek guDiyaa ho gaee
ab koee kahe naa yeh umra kachchee
pookaare premse "guDiyaa bachchee!"

vakt vaktakee baat, baaboo bhaiyaa,
kalkee guDiyaa, guDiyaakee maiyaa!

1:43 PM 4/21/2005
=======================
=======================
Ji.ndagee, maut teraa naam sahi 
=======================
ek anjaanaa ehsaas ke saath is jagme.n aaye hai.n
jiskaa pataa lag gayaa  aaj mujhako: 'marnaa hai'

kaise gujar gaye ek ek pal kahte hue:'aaj nahi, kal'
aur man hi man kahataa rahaa:'mujhe marnaa nahi'

aur mai.n saa.ns bharate gayaa,geet gaataa gayaa
mautape hasataa gayaa:'ab mumkin maranaa nahi'

koee khwaab thaa;log sab naam meraa le rahe the:
'insaan thaa bhalaa:itnaa jaldee thaa marnaa nahi'

'Pravin' dam bharate raho, geet khoob gaate raho;
mat kaho:'marnaa nahi, bolo:'jaaye ko jaanaa sahi.'

12:16 PM 4/13/2005
===============================

=================================
[furasatakee pale.n::
anajaan doosaro.nke vichaaro par aadhaarit]
=================================
T-shirtame.n tum lagatee ho pyaaree pyaaree;
aur dressame.n lagatee ho bahut hee nyaaree;
lekin saaDeeme.n  naa dekhaa tumhe aajtak;
lagataa hai jaroor abtak tum ho ka.nvaaree !

tum muskuraatee ho jab jab,  
gaalo.nme.n khaDDe girate hai.n;
aur mai.n ginataa rahataa hoo.n,
kitane khaDDeme.n girate hai.n !

kahate hai.n ha.nsanevaaleke ghar bas jaate hai.n;
aur ghar basaneke baad ha.nsanaa bhool jaate hai.n !

July 1,2004
====================================


==============
satyamevjayate
==============
mai.n sadaa sach bolataa hu.n;
yah sach hai.
lekin logo.nko bhaataa nahee.n;
yah sach hai.
fir bhee mai.n sach bolataa rahaa,
yah sach hai.
ab logo.nko achchhaa lag rahaa hai;
yah sach hai.
aakhir sachakee jeet hotee hai;
yah sach hai.
to bolo aajase 'satyamevjayate,'
yah sach hai.
------------
June 24,2004
------------
=====
shabd
=====

koi chaahe maram kahe,koi use bharam kahe;
sab shabdako kuchh bhee bhale kahate rahe;
jabtak shabd arthako vahan karataa rahegaa,
shabd sanaatan Brahm hee samazaa jaayegaa.

10:32 AM 6/24/2004
-------------------
===================================================

A parody on some body's poem on
from yahoogroup
=============================
yeh vidyaartheekee pahechaan hai
karate ho.nge thoDe bahut dhumrapaan 
paan khaane parto jaahir farmaan hai
naa vah shaytaan;ek bhala insaan hai.
yeh vidyaartheekee sahee pehchaan hai.
			
padhkar to USA aage paDhane jaanaa hai
schoolke baad aur classesme.n jaanaa hai
Ghar chhod canteen khanaa paDataa hai
Gharke annase laachaar bechaaree jaan hai
yeh vidyaartheekee sahee pehchaan hai

imtehaanme.n nakal kyaa sab karate hai.n?
naa nakal vidyaartheekee asal pehchaan hai.
unke naaro.nse to apnaa desh aazaad hua
isliye jalso.nme.n sabse aage uskaa sthaan hai
yeh vidyaartheekee sahee pehchaan hai.

			
laDakiyo.nke peeChhe kaun jo naa paDaa?
kyaa yeh gunaa karanaa aparaadh hai?
aur laDakeekee manaa par bhai bananaa
vo to cheej kitanee bemishaal,mahaan hai?
yeh  vidyaartheekee sahee pehchaan hai.
June 9,2004

============
motiyan maalaa
============
kuchh bhee nahi meraa,kuchh bhee nahi teraa,yaaraa;
sab kuchh yoo.n chhoDake jaanaa, meraa teraa,yaaraa.
din Dhalegaa,shaam hogi,aur fir saveraa,
apanaa ye jeevan to hai ren-baseraa,yaaraa.
uTh gayaa aaj jahaa.nse maaka koee dulaaraa;
giraa ho aasmaa.nse jaise koi sitaaraa,yaaraa.
rimzim rimzim barase saavan dhaaraa;
aa.nkho.nse Tapake motee-bi.ndu pyaaraa pyaaraa,yaaraa.
ba.nseeke bajvaiyaa teree ba.nseekee dhoon baje;
aaj meraa aatam bhee.nje aMrit dhaaraa,yaaraa.
May 4th,2004
===============
==============
swaabhaavikataa
==============
kavi hai to likh kavitaa lekhak hai to likh lekh. hasaanaa jo hai aata tuzko, to hasaanekaa le tu bhekh. chitrakaar hokar jo naa banaae chitra log kahe.nge ye baDaa vichitra. jisko aataa hai jaisaa,vaisaa karate rehnaa, o mere mitra. til haito kahanaa hai til raaee kaa naa karanaa pahaaD. prashhna sab is liye khaDe khoTe uttar diye dahaaD. kuchh bhee naa ho to rahanaa choop; ghar aaye.nge milane bhoop. 11:00 AM 4/24/2004 ==========================
====
ghar
====
bas chaahiye hee chaahiye ek su.ndar suhaanaa ghar; maraN ke baad bhee dekho hamane banaa hee lee kabar. 3:27 PM 1/14/2004 =================================================== ============================ chalo chale.n ,itnaa kare.n ============================ bahut kuchh paas hotaa hai firbhee insaan rotaa hi hai; kuchhbhee nahi.n hotaa hai firbhee insaan hastaa bhee hai. bahut honaa,yaa naa honaa kuchh matlabkee baat nahee.n; insaan honaa hi hai sabkuchh; insaanhi hastaa aur rotaa hai. to aao yaaro.n sabkuchh chhoDe.n, jee bharke roye.n, aur muskuraaye.n; palbharhi sahee, ham vaapas jaaye.n gumraah insaanko vaapas laaye.n. ================================ jo hai so Theek hai. ==================== sanan sanan pawan, nirmal shaa.nt hawaa; bikharaa yeh gagan,taare.n,chaa.nd,sooraj; bahatee nadee,hasataa sarvar,unnat parvat; chaaro.n aur base hai.n yeh mere hamdam. mai.n akelaa bhitar,pyaasaa,bhookhaa; bhaTakoo.n dar badar,rookhaa sookhaa; naa samaj aataa kab milan hogaa meraa? baahar baiThe hamdamome.n ho baseraa? hasatee duniyaa sab baahar baahar; khastee duniyaa sab bhitar bhitar; khel anaadi,kaisaa jantar mantar; haath lage naa kuchh bhee chhookar. bhitar meraa akelaa,bahut hi achchhaa; hamdam meraa baahar,aur bhee achchhaa. =========================== Aag mera bhaagya ================ jaag jaag jaag jaag; chaaro.n or aag aag; shoch mat ye baag hai, bhaag bhaag,aag aag. bhaagoo.n kyon dekh aag? aag hi hai mera bhaag; aag lage baag baag; chhoDoo.n aag, chhoDu.n baag? aag hai mera bhaag aag hai mera baag. ============================ shoka aur sa.ntaapa ==================== shoka hai meraa dost,hamsafar, dukha hai meraa harpalkaa dilbar; ekdujeko chaina kahaa.n ekpalko, ekduduje jo bichhaDe ek palbhar? dukha bajaaye Gha.nTee Tin-Tin, Shoka bajaaye jorse seeTee; mai.n doDoo.n, darwaajaa kholoo.n, birhaakee barkhaa DabDab rotee. vo shoka kahaa.n? vo dukha kahaa.n? Gha.nTee,seeTee,DabDab dauDa kahaa.n? kuchha paise mile,kyo.n kaise mile? naa milate to achchhaa hotaa kitanaa? ab fale praarthanaa,ho prabhu-prataap; lauTaade mere dost, shoka aur sa.ntaap. ======================================== dhammam sharaNam gachchhaami =============================== mai.n shuddha hoo.n; ati shuddha hoo.n; aur prabuddha hoo.n; mai.n hi buddha hoo.n! tum bhee shuddha ho; aur vishuddha ho; prabuddha meree taraha, tum bhee to buddha ho! to yeha virodh kyo.n? aur yeh avarodha kyo.n? yeh pratishodha kyo.n? aur yeh yuddha kyo.n? naa mai.n buddha hoo.n; naa tum bhee buddha ho; kahaa.n kamee rah gaee? dhammam sharaNam chalo! ======================= chalo chale.n ,itnaa kare.n ============================ bahut kuchh paas hotaa hai firbhee insaan rotaa hi hai; kuchhbhee nahi.n hotaa hai firbhee insaan hastaa bhee hai. bahut honaa,yaa naa honaa kuchh matlabkee baat nahee.n; insaan honaa hi hai sabkuchh; insaanhi hastaa aur rotaa hai. to aao yaaro.n sabkuchh chhoDe.n, jee bharke roye.n, aur muskuraaye.n; palbharhi sahee, ham vaapas jaaye.n gumraah insaanko vaapas laaye.n. ================================ jo hai so Theek hai. ==================== sanan sanan pawan, nirmal shaa.nt hawaa; bikharaa yeh gagan,taare.n,chaa.nd,sooraj; bahatee nadee,hasataa sarvar,unnat parvat; chaaro.n aur base hai.n yeh mere hamdam. mai.n akelaa bhitar,pyaasaa,bhookhaa; bhaTakoo.n dar badar,rookhaa sookhaa; naa samaj aataa kab milan hogaa meraa? baahar baiThe hamdamome.n ho baseraa? hasatee duniyaa sab baahar baahar; khastee duniyaa sab bhitar bhitar; khel anaadi,kaisaa jantar mantar; haath lage naa kuchh bhee chhookar. bhitar meraa akelaa,bahut hi achchhaa; hamdam meraa baahar,aur bhee achchhaa. =========================== Aag mera bhaagya ================ jaag jaag jaag jaag; chaaro.n or aag aag; shoch mat ye baag hai, bhaag bhaag,aag aag. bhaagoo.n kyon dekh aag? aag hi hai mera bhaag; aag lage baag baag; chhoDoo.n aag, chhoDu.n baag? aag hai mera bhaag aag hai mera baag. ============================ shoka aur sa.ntaapa ==================== shoka hai meraa dost,hamsafar, dukha hai meraa harpalkaa dilbar; ekdujeko chaina kahaa.n ekpalko, ekduduje jo bichhaDe ek palbhar? dukha bajaaye Gha.nTee Tin-Tin, Shoka bajaaye jorse seeTee; mai.n doDoo.n, darwaajaa kholoo.n, birhaakee barkhaa DabDab rotee. vo shoka kahaa.n? vo dukha kahaa.n? Gha.nTee,seeTee,DabDab dauDa kahaa.n? kuchha paise mile,kyo.n kaise mile? naa milate to achchhaa hotaa kitanaa? ab fale praarthanaa,ho prabhu-prataap; lauTaade mere dost, shoka aur sa.ntaap. ======================================== dhammam sharaNam gachchhaami =============================== mai.n shuddha hoo.n; ati shuddha hoo.n; aur prabuddha hoo.n; mai.n hi buddha hoo.n! tum bhee shuddha ho; aur vishuddha ho; prabuddha meree taraha, tum bhee to buddha ho! to yeha virodh kyo.n? aur yeh avarodha kyo.n? yeh pratishodha kyo.n? aur yeh yuddha kyo.n? naa mai.n buddha hoo.n; naa tum bhee buddha ho; kahaa.n kamee rah gaee? dhammam sharaNam chalo! =============================
View My Guestbook
Sign My Guestbook


get this gear!

get this gear!
Send me an e-mail at
pravinkshah@hotmail.com.

================================ Shah Pravinchandra Kasturchand's HINDI POETRY PAGE

Please use following LINKS to visit my Gujarati,Hindi, English Poetry,Short Stories etc. ================================

======================
Links in English Fonts
======================
PRIME PAGE.
FAMILY FILE.
DEDICATION DIVINE.
MY ENGLISH POETRY.
MY GUJARATI POETRY.
MY HINDI POETRY.
MY SHORT STORIES.
STRANGE & HUMOUROUS.
HUMOUR IN HINDI.
ON POETRY.
poetry glossary.
figure of speech.
longest words.
nobel prizes.
famous quotes.
====================================
READ IN GUJARATI AND HINDI FONTS
====================================
ABOUT MYSELF.
DEDICATION.
MY HINDI POETRY.
MY GUJARATI POEMS.

Click for FREE 300,000 Search Engine Registrations CLICK here for 2004 Colleges, Universities, and Financial Aid Page Online Degrees and Scholarships Click here to find Guaranteed Scholarships!