Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 9

Slok


Uridharey Jo Antari Naamu

Jo Hriday Mein Naam Basa Leta Hai

Sarab Mei Pekhey Bhagwanu

Aur Sab Mein Prabhu Ko Dekhta Hai

Nimakh Nimakh Thakur Namaskarey

Chhin Chhin Prabhu Ko Namaskar Karta Hai

Nanak Ohu Aprasu Sagal Nistarey----1

Hey Nanak! Vah Nirlep Purush Sab Ko Paar Utaarta Hai



Asatpadi


Mithia Nahi Rasna Paras

Jo Jihva Ko Jhoot Chhuney Nahi Deta

Man Mahi Priti Niranjan Daras

Man Mein Prabhu Ke Darshan Ki Priti Hai

Par Tria Roop Na Pekhey Netra

Parai Stri Ko Aankh Dalkar Nahi Dekhta

Saadh Ki Tahal Sant Sangi Het

Sant Ki Seva Aur Santo Se Priti Karta Hai

Karan Na Suney Kahu Ki Ninda

Kano Se Kisi Ki Ninda Nahi Sunta

Sabh Te Jaaney Aapas Kau Manda

Swayam Ko Sab Se Bura Jaanta Hai

Gur Prasadi Bikhia Parharey

Guru Ki Kripa Se Vishay Tyaag Deta Hai

Man Ki Baasna Man Te Tarey

Man Ki Khahisho Man Se Mit Jaati Hai

Indri Jit Panch Dokh Te Rahat

Indriyo Ko Jeet Kar Paanch Dosho Ke Bina Hai

Nanak Koti Madhey Ko Aisa Apras----1

Hey Nanak! Krodo Mein Koi Aisa Nirlep Hai


Baisno So Jisu Upri Suprasn

Vaishnav Vah Hai, Jis Par Hari Khush Hai

Bisan Ki Maiaa Te Hoi Bhin

Vishnu Ki Maya Se Alag Hota Hai

Karam Karat Hovay Nihkaram

Kaam Kartey Huey Bhi Karmo Se Rahat Hai

Tisu Baisno Ka Nirmal Dharam

Us Vaishnav Ka Dharm Pavitra Hai

Kahu Fal Ki Ichha Nahi Baachey

Jo Kisi Fal Ki Ichcha Nahi Rakhta

Keval Bhagti Kirtan Sangi Raachey

Keval Bhakti Aur Kirtan Mein Leen Rehta Hai

Man Tan Antari Simran Gopal

Man Aur Sharir Mein Prabhu Ko Yaad Rakhta Hai

Sabh Upri Hovat Kirpal

Sab Par Dayavaan Hota Hai

Aapi Dridey Avrah Namu Japavey

Swayam Naamdrid Karta Aur Auro Ko Japata Hai

Nanak Ohu Baisno Paramgati Paavey----2

Hey Nanak! Vah Vaishnav Mukti Prapt Karta Hai


Bhaguti Bhagwant Bhagti Ka Rangu

Bhakt Vah Hai Jis Ko Prabhu Bhakti Ka Rang Hota Hai

Sagal Tiaagey Dusat Ka Sangu

Saarey Dushto Ka Saath Chhod Deta Hai

Man Te Binsey sagla Bharmu

Man Se Sara Brahm Naash Ho Jaata Hai

Kari Pujey Sagal Paarbrahamu

Sab Ko Parmeshwar Karkey Poojta Hai

Saadh Sangi Papa Malu Khovey

Sadhu Sangati Dwara Papo Ki Mael Door Karta Hai

Tisu Bhaguti Ki Mati Uttam Hovay

Us Bhakt Ki Buddhi Shreshta Hoti Hai

Bhagwant Ki Tahal Karey Nit Niti

Jo Sada Bhagwan Ki Seva Karta Hai

Manu Tanu Arpey Bisan Pariti

Tan Man Prabhu Ki Priti Mein Arpan Karta Hai

Hari Ke Charan Hirdey Basavey

Hriday Mein Hari Ke Charan Basata Hai

Nanak Aisa Bhaguti Bhagwant Kaupaavey----3

Hey Nanak! Aisa Bhakt Bhagwan Ko Prapt Karta Hai


So Panditu Jo Manu Parbodhey

Pandit Vah Hai Jo Man Ko Samjhata Hai

Ram Naamu Aatam Mahi Sodhey

Atma Mein Ram Naam Vichaarta Hai

Ram Naam Saaru Rasu Paavey

Ram Naam Ke Tatva Ka Ras Maanta Hai

Usu Pandit Kay Updesi Jagu Jeevay

Aisey Pandit Ke Updesh Se Jahan Jeeta Hai

Hari Ki Katha Hirdey Basavey

Jo Hari Ki Katha Dil Mein Basata Hai

So Panditu Firi Joni Na Aavey

Vah Pandit Firi Yoni Mein Nahi Aata

Bed Puran Smriti Bhujey Mool

Jo Vedo, Purano, Smritiyo Ko Tatva Samjhey

Sukham Mahi Jaaney Asthool

Nirgun Braham Mein Sara Jahan Jaaney

Chahu Varna Kau Dey Updesu

Chaaro Vano Ko Hi Updesh Dey

Nanak Usu Pandit Kau Sada Adesu----4

Hey Nanak! Us Pandit Ko Sada Namaskar Hai


Beej Matru Sarab Ko Gyanu

Beej Mantra (Naam) Hi Sab Ka Gyan Hai

Chahu Varna Mahi Japey Kou Naamu

Chaaro Vano Mein Se Chahey Koi Naam Japey

Jo Jo Japey Tis Ki Gati Hoi

Jo Jo Japega Uski Mukti Hogi

Saadh Sangi Paavey Janu Koi

Parantu Koi Hi Sadhu Sangati Se Prapt Karta Hai

Kari Kirpa Antri Urdharey

Daya Karkey, Jiskey Hriday Mein Basa Dey

Pasu Pret Mugad Paathar Kau Taarey

Pashu, Pret, Murkh Aur Patharo Ko Bhi Taarta Hai

Sarab Rog Ka Aukhadu Naam

Sab Rogo Ki Aushadhi Naam Hai

Kaliaan Roop Mangal Gun Gaam

Mukt Swaroop Hari Gun Gaan Karna Anandaya Kahey

Kaahu Jugti Kitey Na Paaiey Dharmi

Kisi Yukti Ya Dharm Se Nahi Paatey

Nanak Tisu Miley

Hey Nanak! Prabhu Usey Milta Hai

Jisu Likhia Dhuri Karmi----5

Aadi Se Jiski Kismat Mein Likha Hai


Jis Kay Mani Paarbraham Ka Niwasu

Jiskey Man Mein Parmeshwar Basta Hai

Tis Ka Naamu Sati Ramdasu

Uska Naam Satya Ramdas Hai

Aatam Ramu Tisu Nadri Aaiaa

Usey Atma Ka Ram Nazar Aaya Hai

Daas Dasantan Bhai Tini Paaiaa

Daaso Ne Prem Se Usey Prapt Kar Liya Hai

Sada Nikti Nikti Hari Jaanu

Hari Ko Sada Hi Paas Karkey Jaanta Hai

So Daasu Dargah Parvanu

Vah Bhakt Dargah Mein Parvaan Hota Hai

Apuney Daas Kau Aapi Kirpa Karey

Vah Apne Daas Par Swayam Daya Karta Hai

Tisu Daas Kau Sabh Sojhi Parey

Us Daas Ko Saara Gyan Ho Jaata Hai

Sagal Sangi Aatam Udaasu

Sab Ke Saath Hotey Huey Bhi Atma Se Alag Hai

Aisi Jugti Nanak Ramdaasu----6

Hey Nanak! Ram Ke Daas Ki Aisi Yukti Hai


Prabh Ki Agia Aatam Hitavey

Prabhu Ki Aagya Ko Dil Se Prem Karta Hai

Jivan Mukti Sou Kahavey

Vah Jivan Mukti Kahlaata Hai

Taisa Harkhu Taisa Usu Sogu

Uskey Liye Khushi Gami Ek Jaisi Hai

Sada Anandu Tah Nahi Biogu

Usey Sada Anand Hota Hai, Vichhoda Nahi

Taisa Suvarnu Taisi Usu Maati

Uskey Liye Sona Aur Mitti Ek Jaisi Hai

Taisa Amritu Taisi Bikhu Khaati

Amrit Aur Kadvi Zahar Ek Jaisi Hai

Taisa Maanu Taisa Abhimaanu

Usey Maan Aur Niradari Ek Samaan Hai

Taisa Ranku Taisa Rajanu

Usey Raja Aur Rank Ek Jaisa Hai

Jo Bartaey Sai Jugti

Jo Vartata Hai, Vahi Yukti Hoti Hai

Nanak Ohu Purakhu Kahiey Jivan Mukti----7

Hey Nanak! Aisey Purush Jivan Mukti Kahatey Hai


Paarbraham Ke Sagley Thau

Prabhu Ke Sabhi Hi Sthaan Hai

Jitu Jitu Gari Raakhey Taisa Tin Nau

Jis Dasha Mein Rakhta Hai, Vaisa Tinka Naam Hota Hai

Aapey Karan Karavan Jogu

Vah Swayam Hi Karney Karaney Mein Saamarthya Hai

Prabh Bhaavey Soi Funi Hogu

Jo Prabhu Ko Bhata Hai, Vahi Hota Hai

Pasrio Aapi Hoi Anat Tarang

Swayam Kai Rupo Mein Pasra Hua Hai

Lakhey Na Jaahi Paarbraham Ke Rang

Parmeshwar Ke Rang Jaaney Nahi Jaatey

Jaisi Mati Dei Taisa Pargaas

Jaisi Budhi Deta Hai, Vaisa Gyan Hota Hai

Paarbrahamu Karta Abinaas

Karanhaar Parmeshwar Ka Naash Nahi Hota

Sada Sada Sada Daiaal

Vah Sada Hi Dayavaan Hai

Simri Simri Nanak Bhaey Nihal----8----(9)

Uska Smaran Karkey Hey Nanak! Nihaal Ho Gaye Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 10 OF SUKHMANI SAHIB