Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 13

Slok


Sant Sarni Jo Janu Parey

Jo Bhakt Santo Ki Sharan Aata Hai

So Janu Udharanhaar

Vah Sansar Se Tarney Wala Hai

Sant Ki Ninda Naanka

Hey Nanak! Sant Ki Ninda Karney Se

Bahuri Bahuri Avtaar----1

Baar Baar Janam Leta Hai



Asatpadi


Sant Kay Dukhni Aarja Gatey

Sant Ko Dosh Laganey Par Aayu Gat-ti Hai

Sant Kay Dukhni Jam Te Nahi Chhutey

Sant Ko Dosh Laganey Se Yamo Se Nahi Chut-ta

Sant Kay Dukhni Sukhu Sabhu Jaai

Sant Ko Dosh Dene Se Sab Sukh Jaata Hai

Sant Kay Dukhni Narak Mahi Paai

Sant Ko Dosh Dene Se Nark Mein Padta Hai

Sant Kay Dukhni Mati Hoi Maleen

Sant Ko Dosh Dene Par Mat Gandi Ho Jaati Hai

Sant Kay Dukhni Sobha Te Heen

Sant Ko Dosh Dene Se Shobha Rahat Hota Hai

Sant Ke Hatey Kau Rakhey Na Koi

Sant Ke Maarey Ko Koi Nahi Rakhta

Sant Kay Dukhni Thaan Bhrastu Hoi

Sant Ko Dosh Dene Se Man Ganda Hota Hai

Sant Kripaal Kripa Je Karey

Yadi Kripalu Sant Kripa Kar De

Nanak Sant Sangi Nindaku Bhi Tarey----1

Hey Nanak! sant Ke Saath Nindak Bhi Tar Jaatey Hai


Sant Ke Dukhan Te Mukhu Bhavey

Sant Ko Dosh Dene Se Mukh Teda Ho Jaata Hai

Santan Kay Dukhni Kaag Jiu Lavey

Sant Ko Dosh Dene Wala Kaag Ki Bhaati Bhatakta Hai

Santan Kay Dukhni Sarap Joni Paai

Sant Ko Dosh Dene Wala Saanp Ki Yoni Mein Padta Hai

Sant Kay Dukhni Trigad Joni Kirmaai

Sant Ko Dosh Dene Se Keeto, Karmo Ki Yono Mein Padta Hai

Sant Kay Dukhni Trisna Mahi Jaley

Sant Ko Dosh Dene Se Vaasna Mein Jalta Hai

Sant Kay Dukhni Sabhu Ko Chhaley

Sant Ko Dosh Dene Wala Sab Ko Chhalta Hai

Sant Kay Dukhni Teju Sabhu Jaai

Sant Ko Dosh Dene Se Sab Tej Pratap Jaata Hai

Sant Kay Dukhni Neechu Neechaai

Sant Ko Dosh Dene Se Neecho Se Neech Hota Hai

Sant Dokhi Ka Thaau Ko Naahi

Sant Ke Dokhi Ko Koi Sthaan Nahi Hai

Nanak Sant Bhaavey Ta

Hey Nanak! Yadi Santo Ko Achcha Lagey To

Oi Bhi Gati Paahi----2

Vah Bhi Mukti Praapt Kar Leta Hai


Sant Ka Nindaku Maha Atataai

Sant Ki Ninda Karney Wala Bada Paapi Hai

Sant Ka Nindaku Khinu Tiknu Na Paai

Sant Ka Nindak Ek Shan Bhi Nahi Tikta

Sant Ka Nindaku Maha Hatiaara

Sant Ka Nindak Bada Gaatak Hota Hai

Sant Ka Nindaku Parmesuri Maara

Sant Ke Nindak Ko Ishwar Ki Maar Hoti Hai

Sant Ka Nindaku Raaj Te Hinu

Sant Ka Nindak Raajya Heen Hota Hai

Sant Ka Nindaku Dukhia Aru Dinu

Sant Ka Nindak Dukhi Aur Aatur Hota Hai

Sant Ke Nindak Kau Sarab Rog

Sant Ke Nindak Ko Sabhi Rog Lagtey Hai

Sant Ke Nindak Kau Sada Bijog

Sant Ke Nindak Ko Bichchoda Hota Hai

Sant Ki Ninda Dokh Mahi Dokhu

Sant Ki Ninda Dosho Mein Se Bada Dosh Hai

Nanak Sant Bhaavey Ta Uska Bhi Hoi Mokhu----3

Nanak! Sant Ko Achcha Lagey Uski Bhi Mukti Hoti Hai


Sant Ka Dokhi Sada Apvitu

Sant Ka Dushman Sada Ganda Hota Hai

Sant Ka Dokhi Kisey Ka Nahi Mitu

Sant Ka Dushman Kisi Ka Mitra Nahi Hota

Sant Ka Dokhi Kau Daanu Laagey

Sant Ke Dushman Ko Sada Dand Lagta Hai

Sant Ke Dokhi Kau Sabh Tiaagey

Sant Ke Dushman Ko Sabhi Chhod Jaatey Hai

Sant Ka Dokhi Maha Ahankaari

Sant Ka Dushman Bada Ahankaari Hota Hai

Sant Ka Dokhi Sada Bikaari

Sant Ka Dushman Sada Burey Kaam Karta Hai

Sant Ka Dokhi Janmey Marey

Sant Ka Dushman Janamta Aur Marta Rehta Hai

Sant Ki Dukhna Sukh Te Tarey

Sant Ki Dushmani Se Sukho Se Rahat Hota Hai

Sant Ke Dokhi Kau Naahi Thaau

Sant Ke Dushman Ko Koi Sthaan Nahi

Nanak Sant Bhaavey Ta Laey Milaai----4

Hey Nanak! Sant Ko Achcha Lagey To Ishwar Mila Leta Hai


Sant Ka Dokhi Adh Beech Te Tootey

Sant Ka Dushman Aadhey Rastey Mein Hi Toot Jaata Hai

Sant Ka Dokhi Kitey Kaaji Na Pahuchey

Sant Ka Dushman Kisi Kaam Ko Nahi Pahunchta

Sant Ke Dokhi Kau Udiaan Bhramaaiey

Sant Ke Dushman Ko Jangal Mein Bhatkaaya Jaata Hai

Sant Ka Dokhi Ujhdi Paaiey

Sant Ka Dushman Kumaarg Par Daala Jaata Hai

Sant Ka Dokhi Antar Te Thotha

Sant Ka Dushman Bheetar Se Peela Hota Hai

Jiu Saas Bina Mirtak Ki Lotha

Jaisey Saans Ke Bina Murdey Ki Laash Hoti Hai

Sant Ke Dokhi Ki Jad Kichhu Naahi

Sant Ke Dushman Ki Jad Kuch Nahi Hoti

Aapan Beeji Aapey Hi Khaahi

Vah Swayam Beejta Aur Swayam Khaata Hai

Sant Ke Dokhi Kau Avaru Na Raakhanhaaru

Sant Ke Dushman Ko Koi Raakhney Wala Nahi

Nanak Sant Bhaavey Ta Laey Ubaari----5

Hey Nanak! Sant Ko Achcha Lagey To Beda Paar Hota Hai


Sant Ka Dokhi Iu Billaai

Sant Ka Dushman Aisey Bilakta Hai

Jiu Jal Bihoon Machuli Tadfadaai

Jaisey Pani Bina Machhli Tadapti Hai

Sant Ka Dokhi Bhookha Nahi Raajey

Sant Ka Dushman Bhookha Rehta Hai, Rajta Nahi

Jiu Paavaku Eedhni Nahi Graapey

Jaisey Agin Lakdo Se Nahi Rajti

Sant Ka Dokhi Chhutey Ikela

Sant Ka Dushman Akela Reh Jaata Hai

Jiu Buaaru Tilu Khet Maahi Duhela

Jaisey Tilki Khaali Fali Khet Mein Padi Rehti Hai

Sant Ka Dokhi Dharam Te Rahat

Sant Ka Dushman Dharam Heen Hota Hai

Sant Ka Dokhi Sad Mithia Kahat

Sant Ka Dushman Sada Jhoot Kehta Hai

Kirtu Nindak Ka Dhuri Hi Paiaa

Nindak Ki Yeh Kaar Aadi Se Hi Padi Hai

Nanak Jo Tisu Bhaavey Soi Thiaa----6

Hey Nanak! Jo Usey Bhaata Hai, Vahi Hota Hai


Sant Ka Dokhi Bigad Roopu Hoi Jaai

Sant Ka Dushman Karoop Ho Jaata Hai

Sant Ke Dokhi Kau Dargah Miley Sajaai

Sant Ke Dushman Ko Dargah Se Saza Milti Hai

Sant Ka Dokhi Sada Sahakaaiey

Sant Ka Dushman Sada Sahakta Rehta Hai

Sant Ka Dokhi Na Marey Na Jivaaiey

Sant Ka Dushman Na Jeeta Hai, Na Marta Hai

Sant Ke Dokhi Ki Pujey Na Aasa

Sant Ke Dushman Ki Aasha Poorna Nahi Hoti

Sant Ka Dokhi Utthi Chaley Niraasa

Sant Ka Dushman Niraash Hokar Marta Hai

Sant Kay Dokhi Na Tristey Koi

Sant Se Dushmani Karney Par Koi Nahi Rehta

Jaisa Bhaavey Taisa Koi Hoi

Jaisey Bhaata Hai, Vah Usi Tarah Ho Jaata Hai

Paiaa Kirtu Na Metey Koi

Kiye Karmo Mein Padney Se Koi Nahi Mitaata

Nanak Jaaney Sachha Soi----7

Hey Nanak! Vah Sachcha Jaanta Hai


Sabh Gat Tis Ke Ohu Karneyhaaru

Sabhi Sharir Us Ke Hai, Vah Karney Wala Hai

Sada Sada Tis Kau Namaskaaru

Usey Sada Sada Namaskaar Hai

Prabh Ki Ustati Karahu Dinu Raati

Prabhu Ki Stuti Din Raat Karo

Tisahi Dhiaavahu Saasi Giraasi

Usey Aatey Aur Jaatey Shwaaso Se Smaran Karo

Sabhu Kachu Vartey Tis Ka Kiaa

Sabh Kuch Usi Ka Kiya Hai Hota

Jaisa Karey Taisa Ko Thiaa

Jaisa Koi Karta Hai, Vaisa Hi Ho Jaata Hai

Apna Khelu Aapi Karneyhaaru

Apni Khel Swayam Karney Wala Hai

Doosar Kaunu Kahey Bichaaru

Doosra Kaun Vichaar Karey

Jisno Kripa Karey Tisu Aapan Naamudei

Jis Par Daya Karta Hai, Usey Apna Naam Deta Hai

Badbhaagi Nanak Jan Sei----8----(13)

Hey Nanak! Vah Badey Bhaagyo Wala Hai

GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 14 OF SUKHMANI SAHIB