Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 14

Slok


Taj-hu Sianap Suri Janhu

Hey Shreshta Buddhi Walo! Sugadta Chhodo

Simrahu Hari Hari Rai

Aur Hari Ka Smaran Karo

Ek Aas Hari Mani Rakh-hu

Ek Hari Ki Asha Man Mein Rakho

Nanak Dukhu Bharmu Bhau Jaai----1

Hey Nanak! Dukh, Bhram, Bhay Chala Jayega



Asatpadi


Maanukh Ki Tek Brithi Sabh Jaanu

Manushya Ka Aashray Sab Vyarth Jaan

Devan Kau Ekay Bhagwanu

Dene Wala Ek Ishwar Hai

Jis Kay Deeay Rahey Agaai

Jiskey Diye Santusht Hotey Hai

Bahuri Na Trisna Laagey Aai

Dobaara Koi Khwaish Nahi Rehti

Maarey Raakhey Eko Aapi

Maarta Tatha Raksha Karta Swayam Ek Hi Hai

Maanukh Kay Kichhu Naahi Haathi

Manushya Ke Haath Kuch Nahi Hai

Tis Ka Hukamu Bujhi Sukhu Hoi

Uska Hukam Maanney Se Hi Sukh Hota Hai

Tis Ka Naamu Rakhu Kanthi Paroi

Uska Naam Galey Mein Basaey Rakh

Simri Simri Simri Prabhu Soi

Us Prabhu Ko Teen Kaalo Mein Yaad Rakh

Nanak Bignu Na Laagey Koi----1

Hey Nanak! Fir Koi Vigna Nahi Lagta


Ustati Man Mahi Kari Nirankaar

Hriday Mein Prabhu Ki Mahma Kar

Kari Man Mere Sati Biuhaar

Hey Mere Man! Satya Ka Vyavhaar Kar

Nirmal Rasna Amritu Piu

Jihava Se Pavitra Amrit Piyo

Sada Suhela Kari Lehi Jiu

Man Ko Sada Sukhi Kar Lo

Nainhu Pekhu Thakur Ka Rangu

Aankho Se Hari Ka Kautuk Dekho

Saadh Sangi Binsey Sabh Sangu

Santo Ki Sangati Karkey Aur Saath Naash Hotey Hai

Charan Chaloo Maargi Gobind

Paavo Se Ishwar Ke Rastey Par Chhalo

Mitahi Paap Japiay Hari Bind

Thoda Sa Hari Ka Jaap Karney Se Paap Mit Te Hai

Kar Hari Karam Sravani Hari Katha

Haatho Se Hari Ki Kaar Kar, Kaano Se Katha Sun

Hari Dargah Nanak Ujal Matha----2

Hey Nanak! Dargah Mein Tera Mukh Ujal Hoga


Badbhaagi Te Jan Jag Maahi

Vah Log Sansar Mein Badey Bhaagyo Wale Hai

Sada Sada Hari Ke Gun Gaahi

Jo Hamesha Hari Ke Gun Gaatey Hai

Ram Naam Jo Karahi Bichaar

Jo Ram Naam Ka Vichaar Kartey Hai

Se Dhanwant Gani Sansar

Vah Sansar Mein Dhan Wale Giney Jaatey Hai

Mani Tani Mukhi Bolahi Hari Mukhi

Jo Tan Man Se Mukh Se Hari Hari Boltey Hai

Sada Sada Jaanahu Te Sukhi

Unko Sadaiva Sukhi Samjho

Eko Eku Eku Pachhaney Jo Ek Parmeshwar Ko Jaanta Hai

It Ut Ki Ohu Sobhi Jaaney

Usey Yahan Vahan Ki Soojh Ho Jaati Hai

Naam Sangi Jis Ka Manu Maaniaa

Jis Ka Man Naam Se Maan Gaya Hai

Nanak Tinahi Niranjanu Jaaniaa----3

Hey Nanak! Usney Hari Ko Jaan Liya Hai


Gur Prasaadi Aaapan Aapu Sujhey

Guru Ki Kripa Se Swayam Ki Soojh Hoti Hai

Tis Ki Jaanahu Trisna Bujhey

Samjho Uski Trishna Mit Jaati Hai

Saadh Sangi Hari Hari Jasu Kahat

Jo Satya Sangati Mein Hari Ka Yash Kehta Hai

Sarab Rog Te Ohu Hari Janu Rahat

Vah Hari Ka Bhakt Sab Rogo Se Rahat Hota Hai

Andinu Kirtanu Keval Bakhyaanu

Jo Prati Din Keval Kirtan Karta Hai

Grihast Mahi Soi Nirbaanu

Vah Grahast Mein Bhi Tyaagi Hai

Ek Upri Jisu Jan Ki Aasa

Jiski Ek Ishwar Par Asha Hai

Tis Ki Katiay Jam Ki Faasa

Uski Yamdooto Se Faasi Kaati Jaati Hai

Paarbraham Ki Jisu Mani Bhookh

Jiskey Man Mein Ishwar Ki Bhookh Hai

Nanak Tisahi Na Laagahi Dukh----4

Hey Nanak! Usey Dukh Nahi Lagta


Jis Kau Hari Prabhu Mani Chiti Aave

Hari Prabhu Jiskey Man Aur Hriday Mein Aata Hai

So Santu Suhela Nahi Dulaavey

Vah Sant Sukhi Hota Hai, Dolta Nahi

Jisu Prabhu Apuna Kirpa Karey

Jis Par Prabhu Apni Daya Karta Hai

So Sevaku Kahu Kis Te Darey

Batao Ki Vah Sevak Kis Se Bhay Khoye

Jaisa Sa Taisa Dristaiaa

Jaisa Tha Vaisa Nazar Aaya

Apuney Kaaraj Mahi Aapi Samaiaa

Hari Apni Rachna Mein Swayam Basa Hua Hai

Sodhat Sodhat Sodhat Sijhiaa

Vichaar Kartey Kartey Yeh Jaana

Gur Prasaadi Tatu Sabhu Bujhiaa

Guru Ki Kripa Se Sara Tatva Samajh Liya

Jab Dekhau Tab Sabhu Kichhu Moolu

Jab Dekho Pratyek Vastu Ka Aadi Hari Hi Hai

Nanak So Sukhamu Soi Asthulu----5

Hey Nanak! Vah Chhotey Se Chhota Aur Mahanabhi Hai


Nah Kichhu Janmey Nah Kichhu Marey

Na Kuch Janam Leta Aur Na Kuch Marta Hai

Aapan Chalitu Aap Hi Karey

Apne Kautuk Hari Swayam Karta Hai

Aavanu Jaavanu Dristi Andristi

Aaney Jaaney Wale Drishya Aur Adrishya

Aagiaakaari Dhaari Sabh Sristi

Saari Srishti Usney Hukam Mein Rakhi Hui Hai

Aaapey Aapi Sagal Mahi Aapi

Vah Hari Swayam Mein Aur Sab Mein Hai

Anik Jugti Rachhi Thaapi Uthaapi

Anek Yuktiya Banakar Ginaata Aur Giraata Hai

Abhinaasi Naahi Kichhu Khand

Avinaashi Hai Aur Uska Naash Nahi Hota

Dhaaran Dhaari Rahio Brahmand

Rachna Rach Kar Brahmaand Mein Bas Raha Hai

Alakh Abhev Purakh Partaap

Na Jaaney Jaan Wala Bhed Se Rahat Hari Ka Pratap Hai

Aapi Japaey Ta Nanak Jaap----6

Hey Nanak! Jisko Japaata Hai Vah Naam Japtey Hai


Jin Prabhu Jaata Su Sobhavant

Jisney Prabhu Jaana Vah Shobha Wala Hai

Sagal Sansaru Udhrey Tin Mant

Unkey Mantav Se Sara Sansar Udhra Hai

Prabh Ke Sevak Sagal Udharan

Prabhu Ke Sevak Sabka Beda Paar Laganey Wale Hai

Prabh Ke Sevak Dukh Bisaaran

Prabhu Ke Sevak Sab Ke Dukh Naash Karney Wale Hai

Aapey Meli Laey Kirpaal

Hari Kripa Nidhaan Swayam Mila Deta Hai

Gur Ka Sabdu Japi Bhaey Nihaal

Guru Ka Shabd Japkar Nihaal Ho Gaye

Un Ki Seva Soi Laagey

Unki Seva Mein Vahi Lagey Huey Hai

Jis No Kripa Karahi Badbhaagey

Jinkey Upar Daya Karey Vah Badey Bhaagyo Wale Hai

Naamu Japat Paavahi Bisraamu

Naam Japtey Atal Pad Praapt Hota Hai

Nanak Tin Purakh Kau Uttam Kari Maanu----7

Hey Nanak! Us Purush Ko Shreshta Karkey Maan


Jo Kichhu Karey Su Prabh Kay Rangi

Jo Kuch Karta Hai, Vah Prabhu Ke Kautuk Hai

Sada Sada Basey Hari Sangi

Sada Sada Sabkey Saath Basta Hai

Sahaj Subhai Hovay So Hoi

Sahaj Swabhaav Hi Jo Hona Hota Hai, Ho Jaata Hai

Karneyhaaru Pachhaney Soi

Vah Karney Wala Sab Ko Pahchaanta Hai

Prabh Ka Kiaa Jan Meeth Lagana

Prabhu Ka Kiya Bhakt Ko Meetha Laga

Jaisa Sa Taisa Dristana

Jaisa Tha Prabhu Vaisa Hi Dikhai Diya

Jis Te Upjey Tisu Maahi Samaey

Jis Se Paida Huey Usi Mein Sama Gaye

Oi Sukh Nidhaan Unhu Bani Aaey

Yeh Sukho Ka Khazana Unko Ho Ban Aata Hai

Aapas Kau Aapi Deeno Maanu

Swayam Ko Aap Hi Maan Deta Hai

Nanak Prabh Janu Eko Jaanu----8----(14)

Hey Nanak! Prabhu Aur Bhakt Ko Ek Hi Samajh


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 15 OF SUKHMANI SAHIB