Back to ghazal home
|
|
|
tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ zafar kaleem |
|
tuu kisii aur kii jaagiir hai ai jaan-e-Gazal log tuufaan uThaa de.nge mere saath na chal pahalehaq thaa terii chaahat ke chaman par meraa pahale haq thaa terii Khushbuu-e-badan par meraa ab meraa pyaar tere pyaar kaa haq_daar nahii.n mai.n tere gesuu-o-ruKhsaar kaa haq_daar nahii.n ab kisii aur ke shaano.n pe hai teraa aa.Nchal mai.n tere pyaar se ghar apanaa basaa_uu.N kaise mai.n terii maa.Ng sitaaro.n se sajaa_uu.N kaise merii qismat me.n nahii.n pyaar kii Khushbuu shaayad mere haatho.n kii lakiiro.n me.n nahii.n tuu shaayad apanii taqdiir banaa meraa muqaddar na badal mujh se kahatii hai.n ye Khaamosh nigaahe.n terii merii paravaaz se uu.Nchii hai.n panaahe.n terii aur Gairat-e-ehasaas pe sharmindaa huu.N ab kisii aur kii baaho.n me.n hai.n baahe.n terii ab kahaa.N meraa Thikaanaa hai kahaa.N teraa mahal |
|
|
|
|
Aisa pehli baar hua hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein Un-dekha anjanna koi aane laga hai khayalon mein Aankhon ki khidki per ek sayaa sa lehraata hai Dil ke derwaze per koi dastak de ke jata hai Gherri gherri kaali aankhen, mujse mujko puchhatti hai Hathoan ki rekhaao.n mein ek chehra sa ban jatta hai Uske hathoan ki khushboo hai ab tak mere ballo mein Aisa pehli baar hua hai satrah atharah salo mein |
|
|
|
|
jaate jaate vo mujhe
~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
jaate jaate vo mujhe achchhii nishaanii de gayaa umr bhar doharaauu.Ngaa aisii kahanii de gayaa us se mai.n kuchh paa sakuu.N aisii kahaa.N ummiid thii Gam bhii vo shaayad baraa-e-meharabaanii de gayaa sab havaa_e.n le gayaa mere sama.ndar kii ko_ii aur mujh ko ek kastii baadabaanii de gayaa Khair mai.n pyaasaa rahaa par us ne itanaa to kiyaa merii palako.n kii kataaro.n ko vo paanii de gayaa |
|
|
|
|
lagataa nahii.n hai jii meraa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Zafar |
|
lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n kisakii banii hai aalam-e-naa_paayedaar me.n kah do in hasarato.n se kahii.n aur jaa base.n itanii jagah kahaa.N hai dil-e-daaGadaar me.n umr-e-daraaz maa.Ng kar laaye the chaar din do arazuu me.n kaT gae do intazaar me.n kitanaa hai badanasiib 'Zafar' dafn ke liye do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n |
|
|
|
|
na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N, na kisii ke dil kaa qaraar huu.N jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar huu.N na to mai.n kisii kaa habiib huu.N, na to mai.n kisii kaa raqiib huu.N jo biga.D gayaa vo nasiib huu.N, jo uja.D gayaa vo dayaar huu.N meraa ra.ng-ruup biga.D gayaa, meraa yaar mujhase bichha.D gayaa jo chaman fizaa.N me.n uja.D gayaa, mai.n usii kii fasl-e-bahaar huu.N pae faatehaa koii aaye kyuu.N, koii chaar phuul cha.Daaye kyuu.N koii aake shammaa jalaaye kyuu.N mai.n vo bekasii kaa mazaar huu.N mai.n nahii.n huu.N jaa.N-fizaa.N mujhe sunake koii karegaa kyaa mai.n ba.De barog kii huu.N sadaa main ba.De dukh kii pukaar huu.N |
|
|
|
|
apane har har lafz kaa Khud aa_iinaa ho jaa_uu.Ngaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
apane har har lafz kaa Khud aa_iinaa ho jaa_uu.Ngaa us ko chhoTaa kah ke mai.n kaise ba.Daa ho jaa_uu.Ngaa tum giraane me.n lage the tum ne sochaa hii nahii.n mai.n giraa to masalaa ban kar kha.Da ho jaa_uu.Ngaa mujh ko chalane do akelaa hai abhii meraa safar raastaa rokaa gayaa to qaafilaa ho jaa_uu.Ngaa saarii duniyaa kii nazar me.n hai meraa ahad-e-vafaa ek tere kahane se kyaa mai.n bevafaa ho jaa_uu.Ngaa |
|
|
|
|
usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
usuulo.n pe jahaa.N aa.Nch aaye Thakaraanaa zaruurii hai jo zindaa ho.n to phir zindaa nazar aanaa zaruurii hai na_ii umro.n kii Khud_muKhtaariyo.n ko kaun samajhaaye kahaa.N se bach ke chalanaa hai kahaa.N jaanaa zaruurii hai saliiqaa hii nahii.n shaayad use mahasuus karane kaa jo kahataa hai Khudaa hai to nazar aanaa zaruurii hai mere ho.nTho.n pe apanii pyaas rakh do aur phir socho ki is ke baad bhii duniyaa me.n kuchh paanaa zaruurii hai |
|
|
|
|
zaraa saa qataraa kahii.n aaj agar ubharataa hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
zaraa saa qataraa kahii.n aaj agar ubharataa hai samandaro.n hii ke lahaje me.n baat karataa hai Khulii chhato.n ke diye kab ke bujh gaye hote ko_ii to hai jo havaao.n ke par katarataa hai sharaafato.n kii yahaa.N ko_ii ahamiyat hii nahii.n kisii kaa kuchh na bigaa.Do to kaun Darataa hai zamii.n kii kaisii viqaalat ho phir nahii.n chalatii jab aasmaan se ko_ii faisalaa utarataa hai tum aa gaye ho to phir kuchh chaa.Ndanii sii baate.n ho.n zamii.n pe chaa.Nd kahaa.N roz roz utarataa hai |
|
|
|
|
dayaar-e-Gair me.n kaise tujhe sadaa dete
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Wasi Shah |
|
dayaar-e-Gair me.n kaise tujhe sadaa dete tuu mil bhii jaataa to tujhe ga.Nvaa dete [dayaar-e-Gair=alien/unknown place; ga.Nvaa denaa=to lose] hame.n ye zom rahaa ab ke vo pukaare.nge u.nhe.n ye zid thii ke har baar ham sadaa dete [zom=illusion] vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahaje kii ke jis ko haal sunaate use rulaa dete [taasiir=effect; lahajaa=style] tumhe.n bhulaanaa hii avval to dastaaras me.n nahii.n jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa dete [avval=firstly; dastaaras=within reach; iKhtiyaar=control] tumhaarii yaad ne ko_ii javaab hii na diyaa mere Khayaal ke aa.Nsuu rahe sadaa dete sama'to.n ko mai.n taa-umr kosataa "Syed" vo kuchh na kahate magar ho.nTh to hilaa dete [sama'to.n=hearing power; taa-umr=life long; kosanaa=blame] |
|
|
is kaa gilaa nahii.n ki duaa be-asar ga_ii
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Tilok chand mahroom |
|
is kaa gilaa nahii.n ki duaa be-asar ga_ii ik aah kii thii vo bhii kahii.n jaa ke mar ga_ii [gilaa=complaint] ai ham-nafas na puuchh javaanii kaa maajaraa mauj-e-nasiim thii, idhar aa_ii, udhar ga_ii [ham-nafas=friend] [mauj=wave; nasiim=a gentle breeze] daam-e-Gam-e-hayaat me.n ulajhaa ga_ii umiid ham ye samajh rahe the ki ehasaan kar ga_ii [daam=net; hayaat=life] bas itanaa hosh thaa mujhe roz-e-vidaa-e-dost viiraanaa thaa nazar me.n jahaa.N tak nazar ga_ii har mauj aab-e-si.ndh hu_ii vaqf-e-pech-o-taab "Mehroom" jab vatan me.n hamaarii Khabar ga_ii [aab-e-si.ndh=waters of the river Sindh (Indus)] [vaqf-e-pech-o-taab=extremely angry] |
|
|
|
|
ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa aa fir se muJhe choD ke jaane ke liye aa pehle se maraasim na sahee fir bhi kabhi to rasmo rahe duniya hi nibhaane ke liye aa kis kis ko bataayenge judaai ka sabab hum tu muJh se khafa hai to zamaane ke liye aa ab tak dil-e-khush seham ko tujh se hain ummeedeN ye aakhri shamme bhi buJhaane ke liye aa |
|
|
|
|
hamaare un ke maraasam kii baat mat puuchho
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Wajida Tabassum |
|
hamaare un ke maraasam kii baat mat puuchho ye silasilaa to kahii.n duur jaa.N se milataa hai hai apane muqaddar kii baat kyaa kahiye hamaare zaKhm ko maraham kahaa.N se milataa hai hamaare pyaar ke qisse galii galii bikhare ye maratabaa ba.De suud-o-ziyaa.N se milataa hai sitaro.n jaisii ye aa.nkhe.n ye chaa.Nd sa cheharaa tumhaaraa silasilaa kuchh aasamaa.N se milataa hai hamaaraa zikr kitabo.n me.n Dhuu.NDhane vaalo hamaaraa zikr to sare jahaa.N se milataa hai |
|
|
|
|
maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
maiN tujhe bhool gayee, ye bhi nahiN hai, lekin maiin tujhe yaad bhi har waqt nahiN kar sakti zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor [ humaH-geer= extensive] sirf ashkoN hi se daaman to nahiN bhar sakti kaise fitrat ke takaazoN se kinara kar looN [ fitrat= nature] kis tarah talkHi-e-zehraab gawaara kar looN [ talkHi-e-zehraab= bitter poison] zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshoor maiN mohabbat ke takaze bhi samajhtiN hooN magar [ takaaze= demands] maiN haqiqat ke ishaare bhi to pehchaantiN hooN maiN teri yaad meiN kHud apne se gHaafil ho jaaoN masiwa apne kisi aur ko bhi janti hoon [ masiwa= except] zindagi sirf tarana hi tarana to nahiN kuchh haqiqat bhi hai ye mahaz fasana to nahiN maiN haqiqat ke ishaare bhi to pahchaanti hooN sher-o-nagHma meiN guzarti hui rangiN raateN kaun hoga jinheN nagHmaat ka ehsas nahiN talkHi-e-gHum bhi to ik Thos haqiqat hai magar kaun hai jisko haqiqat ka zara paas nahin yeH dhaRhkte hue dil aur yeH khanakte hue saaz yeH mahakte hue nagHmaat, yeH bajti aawaz kaun hoga jise nagHmaat ka ehsaas nahiN zindagi kitni humaH-geer hai, kitni purshor aur iss shor meiN nagHmoN ki haqiqat kitni maiN tujhe yaad kiye jaaooN yeH mumkin hai magar iss humaH-geeri mein ik yaad ki fursat kitni kitne dil-chasp haiN, ulfat ke taraane lekin kitne rangiN hai ye saada-se fasaane lekin iss humaH-geeri meiN in sab ki haqiqat kitni? |
|
|
|
|
tere bheege badan ki khooshboo se ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
tere bheege badan ki khooshboo se lehre bhi huyee mastaani si teri zulf ko chookar aaj huyee khaamosh hawa diwaani si ye roop ka kundan dehka hua ye zism ka chandan mehka hua ilzaam na dena fir muJhko ho jaaye agar naadani si bikhra hua kaajal aankhoN meiN toofaan ki halchal saansoN meiN ye narM laboN ki khamoshi palko meiN chupi hairaani si |
|
|
|
|
Apni aankho kay samundar mein utar jaanay dey ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Nazir Bakri |
|
Apni aankho kay samundar mein utar jaanay dey, Tera mujrim hoon mujhay doob kay mar jaanay dey ! Ay nayey dost main samjunga tujhay bhi apna, Pehlay maazi ka koi zakhm to bhar jaanay dey ! Aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee, Koi aansoo meray daaman pay bhikhar jaanay dey ! Zakhm kitnay teri chahat say miley hain mujko, Saunchta hoon ki kahoon tujhsay magar jaanay dey ! Apni aankho kay samundar mein utar jaanay dey, Tera mujrim hoon mujhay doob kay mar jaanay dey ! |
|
|
|
|
dhuan banake fiza mein uda diya mujhko ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Nazir Bakri |
|
dhuan banake fiza mein uda diya mujhko main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko khada hoon aaj bhi roti ke chaar hurf liye sawal yeh hai kitabon ne kya diya mujhko safaid sung ki chadar lapait kar mujh par faseel-e-shaher pe kis ne saja diya mujhko main ek zurra bulundi ko chhoone nikla tha hawa ne thum ke zameen par gira diya mujhko |
|
|
|
|
Mere khat ko chum lena ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ D.R.Dwivedi |
|
Mere khat ko chum lena lipataana pyar karnaa Mai kabhi dagha na dunga mera aitabaar karnaa Yeh khatt nahi sadaa ye diley dardmand hai Ek bevatan ki yaad lifaafey me band hai wo kya karegaa lekey do aalam ki rahamatey Jisko tumhari yaad me ronaa pasand hai Lekin Mere khat ko chum lena lipataana pyar karnaa Ek roj hum milengey mera intzaar karnaa. |
|
|
|
|
koi aarjoo nahi hahi, koi mudda'a nahi hai ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Unknown |
|
koi aarjoo nahi hai, koi mudda'a nahi hai tera gham rahe salamat, mere dil mein kya nahi hhai ye udaas udaas chehre, ye hansi hansi tabassum tere anjuman mein sayad koi aaina nahi hahi tu bachaye laakh daman, mera phir bhi ye hai dawa tere dil mein main hi main huN, koi doosra nahi hai |
|
|
|
Back to ghazal home
|
|