Baad muddat unhe dekh kar yun laga jaise betaab dil ko karaar aa gaya Arzoo.n ke gul muskuraane' lagge jaise gulshan me.n jaan-e-bahaar aagaya Tishna' nazre' milli, shokkh nazron se jabh Mey barasne' lagi, jaam bharne' laggey Saqiya aaj teri zaroorat nahi, bin piye, bin pilaaye khumaar aagaya Raat sonn'e lagi, subah hone' lagi shamma bhujne lagi, dil machalne lage Waqt ki roshni mein nahayi hui Zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya Har taraf mastiyan, har taraf dil-kashi muskurate' dilo.n mein khushi he khushi Kitna chah-ha magar, fhir bhi uthhna saka teri mehfil mein jo ek baar aagaya ---------------------------------------- Poet : Roshan Nadan Singer : Jagjit / Chitra Album : Awaaz