Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Ghazals




tumko dekha to ye khayaal aaya
zindagi doop tum ghana saaya
tumko dekha to ya khayaal aaya

aaj phir dil ne ik tamanna ki
aaj phir dil ko humne samjhaya
zindagi doop tum ghana saaya

tum chale jayoge to socheinge 
humne kya khoya humne kya paaya
zindagi doop tum ghana saaya

hum jise gun guna nahi sakte 
waqt ne aisa geet kyoun gaya
zindagi doop tum ghana saaya



kyoun zindagi ki raahe me majhboor hogaye
itne huye kareeb ke hum door hogaye
kyoun zindagi ki raahe me majhboor hogaye
itne huye kareeb ke hum door hogaye

aisa nahi ke humko koi bhi khushi nahi
lekin ye zindagi to koi zindagi nahi
kyoun iske faisle hum manzoor hogaye
itne kareeb ke hum door hogaye
kyoun zindagi ki raahe me majhboor hogaye

paaya tume to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil hum pe ro diya
palkon se khaab kyoun ghirey kyoun choor hogaye
itne kareeb ke hum door hogaye
kyoun zindagi ki raahe me majhboor hogaye



milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi
hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi 

sharmake moo na pher nazar ke sawaal par
laati hai aise mod kismat kabhi kabhi
milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi

khulte nahi hain roz dhareeche bahaar ke
aati hai janemann ye kyamat kabhi kabhi
Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi

Tanha na kat sakeinge jawani ke raaste
Pesh aayegi kisi ki zaroorat kabhi kabhi
Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi

Phir kho na jayein hum kahin duniya ki bheed me
Milti hai paas aane ki mohalat kabhi kabhi
Hoti hai dilbaron ki inaayat kabhi kabhi
Milti hai zindagi me mohabbat kabhi kabhi



Jab ye dil udaas hota hai
Jaane koun aas paas hota hai

Honth chup chaap bolte hon jab
Saans kuch tehs tehs chalti ho
Aankhein jab de rahi hon aawaazein
Thandi aanhon saas jalti ho

Ankh me terti hai tasveerein
Tera chehra tera khayaal liye
Aaina dekhta hai jab mujhko
Ek masoom sa sawaal liye

Koi wada nahi kya lekin
Kyoun tera intzaar rehta hai
Bewaja jab karaar miljaye
Dil bada bekaraar rehta hai



Honthon se chulo tum
Mera geet amar kardo
Banjayo meet mere
Meri preet amar kardo

Na umre ki seema ho
Na janam ka ho bandhan
Jab pyar kare koi
To dekhe kewal mann
Nayi reet chalakar tum
Ye reet amar kardo

Aakash ka suna pann
Mere tanha mann me
Paayal chankati tum
Aajayo jeewan me
Saasein dekar apni
Sangeet amar kardo
Sangeet amar kardo
Mera geet amar kardo

Jag ne cheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyara
Sab jeeta ke ye mujhse
Main har dam bhi haara
Tu haar ke dil apna
Meri jeet amar kardo



aadhi raat ko ye dunia wale 
Jab khawbon me kho jaate hain
Aise me mohabbat ke rogi 
Yaadon ke chairaag jalate hain
Karte hain mohabbat sabhi magar
Har dil ko sila kab milta hai
Aati hai baharein ghulsan me 
Har phool magar kab khilta hai

Main heer na thi tu ranjha na tha
Hum apna pyar nibah na sake
Yoon pyar ke khaab bohat dekhe 
Tabeer magar hum paa na sake
Maine to bohat chaha lekin
Tu rakh na saka waadon ka bharam
Ab rehe rehe kar yaar aata hai
Jo tune kiya is dil pe sitam
Karte hain mohabbat sabhi magar
Har dil ko sila kab milta hai

Parda jo hatadoon chehre se 
Tujhe laug kaheinge harjayi
Majhboor hoon main dil ke haathon
Manjoor nahi teri ruswayi
SOcha hai ke apne honthon par
Main chup ki mohar lagaloongi 
Main teri sulagti yaadon se ab fil ko behela loongi.



Bichde bhi to hum bas kal parson
Jiyungi main kaise is haal me barson
Maut na aayi teri yaad kyoun aayi
Hai lambi judai
Chaar dinan da pyar oh rabba hai lambi judai
Honton pe aayi meri jaan duhai
Hai lambi judai, badi lambi judai

Ik tu sajan mere paas nahi re
Dujhe milan di koi aas nahi re
Uspe ye saawan aaya aag lagayi
Chaar dinan da pyar oh rabba hai lambi judai
Badi lambi judai, hai lambi judai

Bhaag ujarhgaye khilne se pehle
Pancchi bichar gae milne se pehle
Koyal ki kook me hook uthai
Hai lambi judai
Chaar dinan da pyar oh rabba hai lambi judai
Badi lambi judai, hai lambi judai


 

Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai
Kahan ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai

Wo waadia wo fizayein
Ke hum mile the jahan
Meri wafa wohin parmzaar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai

Na jane dekhke kyoun unko ye hua ehsaas
Ke mere dil pe une ikhtiyaar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai

Wo pyar jiske liye humne chordi dunia
Wafa ki rahe ghayal wo pyar aaj bhi hai
Yakeen nahi hai magar aaj bhi lagta hai
Meri talaash me shayad bahaar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai

Na puch kitne mohabbat ke zakhme khaye hain
Ke jinko sochke dil saughwaar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai
Kahan ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhi hai
Kisi nazar ko tera intzaar aaj bhi hai


 

Us mod se shuru karein phir ye zindagi
Har sheh jahan haseen thi hum tum the ajnabi
Us mod se shuru karein phir ye zindagi

Lekar chale the hum jise jannat ke khaab the
Phoolon ke khaab the wo mohabbat ke khaab the
Lekin kahan hai unme wo pehle se dilkashi
Us mod se shuru karein phir ye zindagi

Rehte  the hum haseen khayaalon ki bheed me
Uljhe huye hain aaj sawalon ki bheed me
Aane lagi hai yaad wo fursat ki wo gadhi
Har sheh jahan haseen thi hum tum the ajnabi
Us mod se shuru karein phir ye zindagi

Shayad ye waqt hum se koyi chaal chalgaya
Rishta wafa ka aur hi rangon me dhal gaya
Ashkon ki chandni se thi behtar wo doop hi
Us mod se shuru karein phir ye zindagi
Har sheh jahan haseen thi hum tum the ajnabi
Us mod se shuru karein phir ye zindagi


 

dekhelo aawaaz dekar
paas apne payogue
aayogue tanha magar
tanha nahi tum jayogue
dekhelo aawaaz dekar

door rehkar bhi tumi par
rehti hai apni nazar
bahon me hum thaam leingue
jab bhi thokar khayogue
dekhelo aawaaz dekar

lein na badle me tumare
agar khudayee bhi mile
chodre deingue do jahan ko
jab bhi tum farmayogue
dekhelo aawaaz dekar