Badla saa hai………

 

 

Barish se bhingi phoolon kee pankhudiyon per padi chandani see komal ho tum,

Tumhari najar kee khumari kahati hai samaa ajj kuchh badla saa hai.

 

Labh pe chhoti see muskan aur sahne-gulsan mein tumhara hona,

Abre-bahar mein raunak hai ajj, har najara kuchh badla saa hai.

 

Ulfat kee har cheese khuda ne baksi hai tumhe aiy mahjabin,

Jhil see ankhein samandar see gahreen, najara ulfat se bhara sa hai.

 

Tumhari baton mein ajib see kashish hai har pal kheechati hai mujhko,

Mujhe kyun lagane laga hai mera har lamha badla saa hai.

 

Subah kee keerno kee laali mein nahayee ek pari ho tum,

Iss subah ke sath na jane kyun, rukh hawa ka badla saa hai.

 

Ye muskurana sath mein ankein jhukana andaj neerala hai,

Pata nahin aisa lagta hai jeendagi ka har mayana badla saa hai.

 

Dil ko yakin hone laga hai tumhi ho meri kalpna kee ghazal,

Tumhe nahin lagta, mere leekhane ka andajj badla saa hai.

 

Ek meethi see dhoon samandar kee lahron see ane lagi hai ajkal,

'Sahil' se takrakar inn lahron kaa meejaj bhi badla saa hai.

 

Jeendagi kee rahon per har bar rukane kee tammana hai jab bhee dekhun tumhein,

Her ikk rah ke bad abb to har rah ka safar bhee badla saa hai.

 

 

……………………………………………………………Shashi ‘Sahil’