Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!
 
 Back to ghazal home
Javed Akhtar




  dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi ho.n kuchh roj mein bhar jaate hain

rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se
koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaatein hain

narm alphaj, bhali baatein, muhajjab lahje [sabhya]
pahli baarish mein hi ye rang utar jaatein

us dariiche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi[rozan, khidki]
sar jhukaye huye chupchap gujar jaate hain
		 
 
  hamare shauk ki ye inteha thhi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
hamare shauk ki ye inteha thhi
kadam rakha ki manjil rasta thhi.

kabhi jo khwab thha wo paa liya hai
magar jo kho gayi wo cheez kya thhi

main bachpan mein khilaune todta thha
mere anjaam ki wo ibtada thhi
[ibtada - shuruat]

muhabbat mar gayi mujhko bhi gham hai
mere achhe dino ki aashna thhi
[aashna-dost,parichit]

mariij-e-khwab ko to ab shafa hai
magar duniya badi kadwi dawa thhi
[mariij-e-khwab kwab dekhne ka mareej
shafa-cured]
		 
 
  gham hote hain jaha zahanat hoti hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
gham hote hain jaha zahanat hoti hai
duniya mein her shai ki kiimat hoti hai
[zahanat-intelligence,senses; shai-cheez]

aksar wo kahte hain wo bas mere hain
aksar kyun kahte hain hairat hoti hai

tab ham dono waqt chura kar laate thhe
ab milte hain jab bhi fursat hoti hai
		 
 
  ye tasalli hai ki hain nashaad sab
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
ye tasalli hai ki hain, nashaad sab
main akela hi nahi, barbaad sab
[nashaad-nakhush]

sabki khatir hain yaha sab ajnabi
aur kahne ko hain ghar abaad sab

bhoolkar sab ranjishei.n sab ek hain
main batau.n sabko hoga yaad sab

talkhiyan kaise na ho ash'aar mein
hampe jo gujari hamein hai yaad sab
		 
 
  main khud bhi sochta hun
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
main khud bhi sochta hun mera kya ye haal hai
jiska jawaab chahiye wo kya sawaal hai

ghar se chala to dil ke siwa paas kuchh na thha
kya mujhse kho gaya hai mujhe kya malaal hai

phir koi khwab dekhun koi aarju karoon
aye dil-e-tabaah tera kya khayaal hai
		 
 
  sach ye hai bekaar hamein gham hota hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
sach ye hai bekaar hamein gham hota hai
jo chaha thha duniya mein kam hota hai

dhalta sooraj faila jangal rasta gum
hamse poochho kaisa aalam hota hai

zakhm to hamne in aankho se dekhe hain
logo se sunte hain marham hota hai

zahan ki shakho.n per ash'aar aa jate hain
jab teri yaado.n ka mausam hota hai
		 
 
  mere dil mein utar gaya sooraj
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
 
mere dil mein utar gaya sooraj
tiiragi mein nikhar gaya sooraj

dars dekar hamein ujaale ka 
khud andhere ke ghar gaya sooraj
[dars-knowledge]

doodbte waqt thha jard itna 
log samjhe ki mar gaya sooraj
		 
 
  Banjara (Nazm)
~~~~~~~~~~
 
 
main banjara
waqt ke kitne shaharo se gujra hun
lekin
waqt ke is shahar se jaate jaate 
mudkar dekh raha hun
soch raha hun
tumse mera ye nata bhi toot raha hai
tumne mujhko chhoda thha jis shahar mein aake
wo shahar bhi mujhse chhoot raha hai

mujhko wida karne aaye hain
wo saare din
jinke kandhe per soti hai
ab bhi tere julf ki khusbu
wo saare lamhe
jinke maathe per hain raushan
ab bhi tumhare lams[sparsh] ka tika
nam aankho se 
gumsum mujhko dekh rahe hain
mujhko inke dukh ka pata hai
inko mere gham ki khabar hai
lekin mujhko hukme-safar
jana hoga  
waqt ke agle shahar ab mujhe jana hoga

naye shahar ke sab din sab raatein 
jo tumse nawaakif honge
wo kab meri baat sunenge
mujhse kahenge
jao apni rah lo rahi
hamko kitne kaam pade hain
jo biti so beet gayi
ab wo kyun dohrate ho
kandhe per jholi rakhe
kyun phirte ho kya paate ho

main bechara
ik banjara
awaara firte firte jab thak jaunga
tanhai ke teele per jakar baithunga
phir jaise pahchan ke mujhko
ik banjara jaan ke mujhko
waqt ke agle shahar ke
sare nanhe munne bhole lamhe
nange pao.n
bhage bhage aa jayenge
mujhko gher ke baithenge
aur mujhse kahenge kyun banjare
tum to waqt ke kitano shahro se gujre ho
un shahro ki koi kahani hame sunao

unse kahunga 
nanhe lamho -
ek thhi rani....
sunke kahani 
sare ghamgi.n lamhe mujhse ye poochhenge
tum kyun unke shahar na aayi
lekin unko bahla lunga 
unse kahunga ye mat poochho
aankhe mundo aur ye socho
wo hoti to kaisa hota

tum ye kahti tum wo kahti
tum is baat pe hairaa.n hoti
tum is baat pe kitni hasti
tum hoti to aisa hota 
tum hoti to waisa hota
dheere dheere 
sare nanhe lamhe so jayenge
aur main haule se uthhkar
waqt ke agle shahr ke raste ho lunga
yahi kahani phir dohrane
tum hoti to aisa hota 
tum hoti to waisa hota
		 
 
 Back to ghazal home