Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 2

Slok


Deen Dard Dukh Bhanjana

Hey Ni:Mano Ke Dukh Dard Door Karne Wale

Gat Gat Nath Anath

Gat Gat Wasi, Anatho Ke Anath

Saran Tumhari Aayio

Mein Tumhari Sharan Aaya Hoo

Nanak Ke Prabh Saath----1

Hey Prabhu! Nanak Ke Saath Saath Ho



Asatpadi


Jah Maat Pita Sut Meet Na Bhai

Jahan Mata, Pita, Putra, Bandhu, Bhai Koi Bhi Nahi

Man Uha Naam Terey Sangi Sahai

Hey Man! Vahan Naam Tumharey Saath Sahayak Hoga

Jah Maha Bhaiaan Doot Jam Daley

Jahan Bade Daravaney Yamdoot Lataarte Hai

Tah Keval Naam Sangi Terey Chaley

Vahan Kewal Naam Hi Tumharey Saath Jaata Hai

Jah Muskal Hovay Ati Bhaari

Jahan Koi Badi Bhaari Mushkil Aa Jaaye

Hari Ko Naam Khin Mahi Udhaari

Hari Ka Naam Shano Mein Bacha Leta Hai

Anik Punah Charan Karat Nahi Terey

Aneko Punya, Aachran Karke Bhi Nahi Tarta

Hariko Naam Koti Paap Parharey

Hari Naam Karoro Paap Door Kar Deta Hai

Gurmukhi Naam Japahu Man Merey

Hey Mere Man! Gurmukha Dwara Naam Jap

Nanak Pavahu Sukh Ganerey----1

Hey Nanak! Is Prakaar Adhik Sukh Prapt Kar


Sagal Sristi Ko Raja Dukhiya

Sari Shrishti Ka Raja Bhi Dukhi Hai

Hari Ka Naam Japat Hoi Sukhiya

Hari Ka Smaran Karke Vah Sukhi Hota Hai

Laakh Karori Bandhu Na Parey

Yadi Lakho Karoro Bandan Par Jaaye

Hari Ka Naam Japat Nistarey

Hari Ka Naam Japney Se Tar Jaata Hai

Anik Maaia Rang Tikh Na Bujhavey

Maya Ke Aneko Rang Pyaas Nahi Bujhatey

Hari Ka Naam Japat Aagavey

Hari Ka Naam Japkar Trupt Ho Jaata Hai

Jih Maarg Ihu Jaat Ikela

Jis Raastey Yeh Akela Jaata Hai

Tah Hari Naam Sangi Hota Suhela

Hari Ka Naam Vahan Sukh Dene Wala Hota Hai

Aisa Naam Man Sada Dhiyaiye

Hey Man! Aisa Naam Sada Japna Chahiye

Nanak Gurmukh Param Gati Paiye----2

Hey Nanak! Gurmukh Se Hi Mukti Milti Hai


Chutat Nahi Koti Lakh Baahi

Karoro Aur Lakho Sahayako Ke Kaaran Bhi Chutkara Nahi

Naam Japat Tah Pari Parahi

Vahan Naam Japtey Hi Beda Paar Ho Jaata Hai

Anik Vigan Jah Aai Sangaarey

Jahan Aneko Vigan Aakaar Naash Karte Hai

Hari Ka Naam Tatkaal Udhaarey

Hari Ka Naam Jhat Se Beda Paar Kar Deta Hai

Anik Joni Janmey Mari Jaam

Aneko Yoniyon Mein Janam Leta Aur Markar Phir Janam Leta Hai

Naam Japat Paavey Bisram

Naam Ka Jaap Karke Mukt Ho Jaata Hai

Hau Maila Mal Kabahu Na Dhovay

Ahankaar Bhi Mael Valayadi Kahin Mael Nahi Dhota

Hari Ka Naam Koti Paap Khovay

Hari Ka Naam Karoro Paap Naash Karta Hai

Aisa Naam Japahu Man Rangi

Hey Man! Aisa Naam Anand Se Jap

Nanak Paiye Saadh Ke Sangi----3

Hey Nanak! Vah Sadhuo Ki Sangat Se Milta Hai


Jih Maarg Ke GaneyJahi Na Kosa

Jis(Yamdooto) Ke Raaste Ke Kos Nahi Giney Jaate

Hari Ka Naam Uha Sangi Tosa

Hari Ka Naam Vahan Tumharey Saath Bhojan Hoga

Jih Pairey Maha Andh Gubara

Jis Raastey Mein Bada Andhera Aur Dhundhukaar Hai

Hari Ka Naam Sang Ujiara

Vahan Hari Ka Naam Jagmaga Raha Hoga

Jahan Panthi Tera Ko Na Sithanu

Jis Raastey Mein Tera Koi Vaakif Nahi

Hari Ka Naam Tah Naal Pachanu

Hari Ka Naam Tumharey Saath Hoga

Jah Maha Bhaiaan Tapti Bahu Gaam

Jahan Ati Bhayanak Tapash Aur Garmi Hai

Tah Hari Ke Naam Ki Tum Upri Cham

Vahan Tumharey Upar Hari Naam Ki Chhaya Hogi

Jaha Trikha Man Tujhu Aakrakhey

Jahan Pyaas Tumharey Man Ko Aakarshitkar Rahi Hai

Tah Nanak Hari Hari Amrit Barkhey----4

Hari Naam Tumharey Upar Amrit Barasta Hai


Bhagat Jana Ki Bartan Naam

Bhakto Ka Prayog Hi Hari Naam Hai

Sant Jana Ke Man Bisram

Santo Ke Man Mein Naam Basa Hota Hai

Hari Ka Naam Daas Ki Ot

Hari Ka Naam Daas Ka Aashraya Hai

Hari Ke Naam Udhrey Jan Kot

Hari Ke Naam Ke Kaaran Karoro Tar Gaye Hai

Hari Jas Karat Sant Din Raat

Sant Din Raat Hari Ka Yash Gaan Karte Hai

Hari Hari Aukhadhu Saadh Kamati

Sant Hari Ke Naam Ki Oshdhi Prayog Karte Hai

Hari Jan Ke Hari Naam Nidhan

Hari Ke Bhakto Ka Hari Naam Ka Khazana Hai

Paarbraham Jan Kino Daan

Jo Ishwar Ne Bhakto Ko Daan Diya Hai

Man Tan Rang Ratey Rang Ekay

Unke Tan Man Ek Naam Rang Mein Range Hai

Nanak Jan Ke Birti Bibekey----5

Hey Nanak! Unki Lagan Gyanmai Hai


Hari Ka Naam Jan Kau Mukti Jugti

Bhakt Ke Liye Hari Ka Naam Hi Mukti Ki Yukti Hai

Hari Ke Naam Jan Kau Tripti Bhugti

Bhakt Ko Hari Ka Naam Hi Tript Karne Wala Hai

Hari Ka Naam Jan Ka Roop Rang

Hari Ka Naam Hi Bhakt Ka Roop Aur Rang Hai

Hari Naam Japat Kab Parey Na Bhangu

Hari Ka Naam Japne Se Kabhi Vigan Nahi Padta

Hari Ka Naam Jan Ki Vadiyaee

Hari Ka Naam Hi Bhakt Ki Badai Hai

Hari Ke Naam Jan Sobha Paee

Hari Ke Naam Se Hi Bhakt Shobha Pata Hai

Hari Ka Naam Jan Kau Bhog Jog

Hari Ka Naam Bhakt Ke Liye Yog Aur Bhog Hai

Hari Naam Japat Kachu Nahi Biyog

Hari Ka Smaran Karne Se Koi Bichoh Nahi Rehta

Jan Rata Hari Naam Ki Seva

Man Hari Ke Naam Ki Seva Mein Ranga Gaya Hai

Nanak Pujey Hari Hari Deva----6

Nanak Hari Roop Devta Ki Puja Karta Hai


Hari Hari Jan Ke Maal Khajina

Bhakto Ka Hari Hi Maal Khazana Hai

Hari Dhan Jan Kau Aap Prabh Dina

Prabhu Ne Swayam Bhakt Ko Haridhan Diya Hai

Hari Hari Jan Ke Ot Satani

Hari Bhakt Ko Hari Ka Tagda Aashraya Hai

Hari Pratapi Jan Avar Na Jani

Hari Ke Pratap Kaaran Bhakt Aur Nahi Jaanta

Oti Poti Jan Hari Ras Ratey

Taane Pete Ki Bhaanti Bhakt Hari Ras Mein Magna Hote Hai

Suni Samadhi Naam Ras Maatey

Sun Samadhi Mein Naam Ras Mein Mast Hai

Aath Pahar Jan Hari Hari Japey

Bhakt Aatho Pahar Hari Ka Smaran Karta Hai

Hari Ka Bhagat Pragat Nahi Chapey

Hari Ka Bhakt Prakat Hota Hai, Chhipta Nahi

Hari Ki Bhagti Mukti Bahu Karey

Hari Ki Bhakti Adhik Mukti Deti Hai

Nanak Jan Sangi Ketey Tarey----7

Hey Nanak! Bhakt Ke Saath Kai Tar Gaye Hai


Paarjaat Ihu Hari Ko Naam

Yeh Hari Ka Naam Hi Kalap Vriksh Hai

Kaamdhen Hari Hari Gun Gaam

Hari Ka Gun Gaan Karta Hi Kaamdhenu Gaan Hai

Sabh Te Uttam Hari Ki Katha

Hari Ki Katha Sabse Uttam Hai

Naam Sunat Darad Dukh Latha

Naam Sunte Hi Sabo Dard Aur Dukh Door Ho Jaate Hai

Naam Ki Mahima Sant Rid Vasey

Naam Ki Mahima Sant Ke Dil Mein Basti Hai

Sant Pratapi Duratu Sabh Nasey

Santo Ke Pratap Se Sabhi Paap Bhaag Jaate Hai

Sant Ka Sang Vadbhagi Paiye

Bade Bhaagyo Se Santo Ki Sangati Milti Hai

Sant Ki Seva Naam Dhiyaiye

Sant Ki Seva Kiye Hari Naam Ka Smaran Hota Hai

Naam Tuli Kachu Avaru Na Hoi

Naam Ke Barabar Kuch Aur Nahi Hota

Nanakgurmukhinaam Paavey Jankoi----8----(2)

Hey Nanak! Gurmukh Dwara Hi Naam Prapt Hota Hai

GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO 3RD CHAPTER OF SUKHMANI-SAHIB