Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 16

Slok


Roop Na Rekh Na Rangu Kichhu

Prabhu Ka Na Koi Roop Rekh Na Rang Hai

Trihu Gun Te Prabh Bhin

Prabhu Teen Guno Se Alag Hai

Tis-hi Bujhaaey Naanka

Swayam Ko Usey Samjhaata Hai

Jisu Hovay Suprasn----1

Jis Par Vah Prasan Hota Hai


Abinaasi Prabhu Man Mahi Raakhu

Naash-heen Prabhu Ko Apne Man Mein Rakh

Maanukh Ki Tu Priti Tiaagu

Tu Manushya Ka Pyar Tyaag De

Tis Te Parey Naahi Kichhu Koi

Us Se Door Kuch Nahi Hai

Sarab Nirantari Eko Soi

Sabkey Hriday Mein Ek Vahi Hai

Aapey Bina Aapey Dana

Swayam Chaatur Aur Sundar Hai

Gahir Gambhiru Gahiru Sujana

Vah Gahar, Gambhir, Adol Aur Sugad Hai

Paarbraham Parmesur Gobind

Vah Gobind Paarbraham Parmeshwar Hai

Kripa Nidhaan Daiaal Bakhsand

Kripa Ka Khazana, Dayalu, Bakhsheesh Karne Wala Hai

Saadh Tere Ki Charni Paau

Mein Tumhaarey Sant Ke Charno Mein Padta Hoo

Nanak Kay Mani Iu Anraau----1

Hey Nanak! Mere Man Mein Yehi Chaav Hai


Mansa Puran Sarna Jog

Sabki Asha Poorna Karne Wala, Sharan Lene Wala Hai

Jo Kari Paaia Soi Hogu

Jo Karkey Paaya Hai, Vahi Hoga

Haran Bhajan Ja Ka Netra Foru

Khaali Bharpoor Karna Jis Aankh Ka For Hai

Tis Ka Mantru Na Jaaney Horu

Tiska Mantra Aur Koi Nahi Jaanta

Anad Roop Mangal Sad Ja Kay

Vah Anand Swaroop Hai Jiskey Sada Khushiya Hai

Sarab Thok Suniahi Gari Ta Kay

Yeh Uske Gar Mein Sabhi Padarath Hai

Raaj Mahi Raju Jog Mahi Jogi

Raajya Mein Raja Aur Yog Mein Yogi Hai

Tap Mahi Tapisru Grihast Mahi Bhogi

Tap Mein Tapasvi Aur Grihast Mein Bhogi Hai

Dhiaai Dhiaai Bhagtah Sukhu Paaia

Usey Smar Smar Kar, Bhakto Ne Sukh Paaya Hai

Nanak Tisu Purakh Ka Kiney Antun Paiaa----2

Hey Nanak! Akaalpurush Ka Kisey Ant Nahi Paaya


Ja Ki Leela Ki Miti Naahi

Jiski Khel Ki Koi Miti Nahi

Sagal Dev Haarey Avgaahi

Sabhi Devta Ant Lete Haar Gaey

Pita Ka Janamu Ki Jaaney Pootu

Pita Ke Janam Baarey Putra Kya Jaan Sakta Hai?

Sagal Paroi Apuney Sooti

Usne Sari Rachna Apne Prabandh Mein Rakhi Hai

Sumati Giaanu Dhiaanu Jin Dei

Jis Ko Achchi Shiksha, Gyan Aur Dhyan Diye Hai

Jan Daas Naamu Dhiaavahi Sei

Vey Daas Bhakt Hi Naam Ka Smaran Kartey Hai

Tihu Gun Mahi Ja Kau Bharmaey

Jisey Teen Guno Mein Bhramata Hai

Janmi Marey Firi Aavey Jaey

Vah Janam Letey, Martey, Aatey Jaatey Hai

Ooch Neech Tis Ke Asthaan

Oonchey Neechay Sabhi Uskey Sthaan Hai

Jaisa Janavey Taisa Nanak Jaan----3

Hey Nanak! Jaisey Vah Prakatata Hai, Vaisa Hi Jaan


Nana Roop Nana Ja Ke Rang

Uskey Kai Roop Aur Kai Rang Hai

Nana Bhekh Karhi Ik Rang

Anek Vesh Karta Hua Bhi Ek Rang Mein Hai

Nana Bidhi Keeno Bisthaaru

Usney Anek Prakaar Ka Vistaar Kiya Hai

Prabhu Abinaasi Ekankaaru

Vah Prabhu (1 Om) Naash-heen Hai

Nana Chalitu Karey Khin Maahi

Vah Shan Mein Kai Kautuk Karta Hai

Pri Rahio Puranu Sabh Thai

Vah Sarva Vyapak Sab Jagah Bharpoor Hai

Nana Bidhi Kari Banat Banai

Kai Prakaar Se Usne Rachna Rachi Hai

Apni Keemti Aapey Paai

Apni Keemat Swayam Hi Daali Hai

Sabh gat Tis Ke Sabh Tis Ke Thaau

Sabhi Sharir Aur Sabhi Sthaan Uske Hai

Japi Japi Jeevay Nanak Hari Naau----4

Nanak Hari Ka Naam Jap Kar Jeevit Hai


Naam Ke Dhaarey Sagley Jant

Sabhi Jeev Hari Naam Ke Banaye Huey Hai

Naam Ke Dhaarey Khand Brahmand

Vishwa Ke Bhaag Aur Brahmaand Naam Ke Saharey Hai

Naam Ke Dhaarey Simriti Bed Puraan

Smritiya, Ved, Puraan Naam Ke Saharey Hai

Naam Ke Dhaarey Sunan Giaan Dhiaan

Naam Ke Saharey Hi Gyan, Dhyan Suntey Hai

Naam Ke Dhaarey Aagaas Paataal

Naam Ke Saharey Hi Aakaash Aur Paataal Hai

Naam Ke Dhaarey Sagal Aakaar

Naam Ke Saharey Hi Sabhi Sharir Hai

Naam Ke Dhaarey Puriaa Sabh Bhavan

Naam Ke Saharey Sabhi Puriya Aur Sthaan Hai

Naam Kay Sangi Udhrey Suni Sravan

Kaano Se Naam Sunkar Kai Tar Gaye Hai

Kari Kirpa Jisu Aapney Naami Laaey

Kripa Karkey Jisey Apne Naam Mein Lagaye

Nanak Chauthey Padamhi Sojanu Gatipaaey----5

Nanak! Chauthey Khand Mein (Lok) Mukti Prapt Karta Hai


Roopu Sati Ja Ka Sati Asthaanu

Uska Roop Sacha Hai Aur Thikana Sacha Hai

Purkhu Sati Keval Pardhaanu

Vah Keval Sacha Akaal Purush Hi Shromani Hai

Kartooti Sati Sati Ja Ki Baani

Uski Karni Sachi Hai Aur Baani Bhi Sachi Hai

Sati Purakh Sabh Maahi Samani

Sacha Purush Sabhi Mein Basa Raha Hai

Sati Karmu Ja Ki Rachna Sati

Jiskey Kaam Aur Rachna Sachi Hai

Moolu Sati Sati Utpati

Jiska Aadi Aur Utpati Sachi Hai

Sati Karni Nirmal Nirmali

Jiski Kudrati Pavitra Se Pavitra Hai

Jis-hi Bujhaey Tis-hi Sabh Bhali

Jisey Samjhata Hai Usey Sabse Achchi Lagti Hai

Sati Naamu Prabh Ka Sukhdaai

Prabhu Ka Sacha Naam Sukh Dene Wala Hai

Biswasu Sati Nanak Gur Te Paai----6

Hey Nanak! Guru Se Sacha Vishwas Paaya Hai


Sati Bachan Saadhu Updes

Santo Ke Bachan Aur Updesh Sachey Hai

Sati Te Jan Ja Kay Ridey Praves

Vah Log Sachey Jinkey Hriday Mein Basta Hai

Sati Nirti Bujhey Je Koi

Yadi Koi Satya Ki Nirnay Karkey Samajh Le

Naamu Japat Ta Ki Gati Hoi

Naam Smaran Karney Se Uski Mukti Hoti Hai

Aapi Sati Kia Sabhu Sati

Vah Swayam Sacha Hai, Jo Kiya Hai Sab Sacha Hai

Aapey Jaaney Apni Miti Gati

Apni Minti Dasha Swayam Hi Jaanta Hai

Jis Ki Sristi Su Karneyhaaru

Jiski Duniya Hai, Vahi Karney Wala Hai

Avar Na Bujhey Karat Bichaaru

Vah Auro Se Pooch Kar Nahi Vichaar Karta

Kartey Ki Miti Na Jaaney Kia

Uski Minti Uska Kiya Jeev Nahi Jaanta

Nanak Jo Tisu Bhaavey So Vartia----7

Hey Nanak! Usey Jo Bhaata Hai Vahi Bartata Hai


Bisman Bisam Bhay Bismaad

Vah Aashcharya Us Aashcharya Ka Roop Ho Gaye

Jini Bujhiaa Tisu Aaia Swad

Jisney Jaana Usey Swad Aa Gaya

Prabh Kay Rangi Raachi Jan Rahey

Jo Us Prabhu Ke Rang Mein Rangey Rahey

Gur Kay Bachni Padarath Lahey

Guru Ke Bachan Se Vah Padarath Leta Hai

Oi Daatey Dukh Kaatanhaar

Vah Daatey Aur Dukh Kaatney Wale Hai

Ja Kay Sangi Tarey Sansar

Jinkey Saath Sansar Ka Beda Paar Ho Jaata Hai

Jan Ka Sevaku So Vadbhaagi

Bhakto Ka Sevak Badey Bhaagyo Wala Hai

Jan Kay Sangi Ek Liv Laagi

Bhakt Ke Saath Ek Mein Liv Lagti Hai

Gun Gobind Kirtanu Janu Gaavey

Vah Bhakt Govind Ke Gun Gaan Karta Hai

Gur Prasadi Nanak Falu Paavey----8----(16)

Hey Nanak! Guru Ki Kripa Se Vah Fal Prapt Karta Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 17 OF SUKHMANI SAHIB