Back



G e n e r a l C o l l e c t i o n s

- - - - - - - - - - - - - - - - - -


Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi

Kafas Udas Hai yaaro, Subah Se Kuch To Kaho
Kahin To Behr-E-Khuda Aaaj Zikr-E-Yaar Chale

Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai, Woh Kis Dil Ko Khabar Hai

Aaa Sikander-E-Hunar Aaazmayain
Tu Teer Aaazmaaa, Hum Jigar Aaazmayain

Satchaye Chup Nahi Sakti, Banawti Usulon Se
Khushbu Aa Nahi Sakti, Kagaz Ke Phoolon Se

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

In Main Moti Hai Ke Pathar, Kise Khabar
Dil To Samundaron Se Bhi Gahra Hai Dosto

Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Yeh hawa ka koi jhonka nahi
Teri yaadon ka ek samundar hai

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala
Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Mujhe bhulna bhi chaho to bhula na sako ge
Main to palkon pe thahar jaoon ga, aaansoon ki tarah

Tum badle, jahan badla, badli nazar zamane ki
Yeh Aansu char baqi rah gaye, nishani dil lagane ki

Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
Lo raah main takra gaye, allah khair ho

Galat nahi ke zamane main lajawaab hain hum
Samajh sake na koi, woh kitaab hai hum

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Tere Aazad Bande Ki, Na Yeh Duniya Na Woh Duniya
Yahan Jeene Ki Pabandi, Wahan Marne Ki Pabandi

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai
Tu Aatish-E-Dozakh Se Darata Hai Jin hain
Woh Aag Ko Pee Jate Hain Paani Kar Ke


Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi
Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna Kaun Karey

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Jo Aala Zarf Hotey Hain, Woh Sar Kham Hi Rakhtey Hain
Suraahi Khud Nagoon Ho Kar Bhara Karti Hai Paimaney

Maana ke aapke nazaron main kuch nahin hain hum
Magar unse jakar puchiye jin-hain hasil nahi hain hum

Manzil ko paane ke liye Saahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karne ke liye dil-o-jaan qurban karna parta hai...

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali...

Aadi bana kar lazzat-e-aazaar ne mujhey
Gham ki khalish ko dil ki tamanna bana diya

Khuda kisi ko kis par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam ,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai

Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar sanam,
Roz dikhti ho jinhe aate huye jaate huye

Huwi hum se ye nadani, kay teri mehfil mein aah bethay.
Ho kay zameen ki khakh, aasman se dil laga bethay

Jinki yaad hai dil me nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarah.

Galat nahin key zamaney mein la jawaab hain hum
Samajh sakey na koi woh kitaab hain hum

Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi

Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain

Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai

Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi
Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho

Maana ke aapke nazron main kuch nahin hain hum
Magar unse jaakar poochiye .. jinhe haasil nahin hain hum

Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala
Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala

Aaj Tu Kali Hai, Kal Gulab Hoga
Mujh Se Shadi Kar Le, Tujhko Sawaab Hoga

Aandhi aati hai, tufaaan chale jaate hain
Yaade rah jaati hai, insaan chale jaate hain



Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah

Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.

Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai
Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe
Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai

Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To
Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi

Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar
Apne Mehboob Ke Na Aane Par
Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre
Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan

Hum Bewafa Har Giz Na Thay
Par Hum Wafa Kar Na Sakay
Humain Mili Us Ki Saza
Jo Khata Hum Kar Na Sakay

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai

Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo

Mohbbat karna koi zulm nahi,
Agar ki jaye usool se,
Khuda ko bhi muhabbat thi,
Apne rasoul se

Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko
Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay
Hum the chaand ke nazaare main khoye hue

Hui hum se ye nadani,
Kay teri mehfil mein aa baithe
Ho kay zameen ki khakh
Aasman se dil laga baithe

Dil si cheez hai, dene ko hai de day
Magar koi qabeel bhi to ho
Hum to jaan de kay bhi khush hain
Magar koi qateel bhi to ho

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain

Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna
Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna
Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le
Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna

Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka
Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka
Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain
Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai
Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De

Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum

Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge

Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain
Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain
Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain
Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain.

Waqt Ke Saath Badal Jaaye
Use Pyaar Nahi Kehte
Musibat Se Jo Darr Jaaye
Use Yaar Nahi Kehte

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida

Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo

Humne kitni koshish ki unhe manane ki,
Na Jaana Kaha se seekh li unhone
Yeh Ada Zidd par utar jaane ki.

Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga

Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain

Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi
Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal
Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....

Koi ummeed bar nahin aati
Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai
need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi
ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad
par tabeeat idhar nahin aati
Hai kuchh aisi hi baat
jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain
meri awaaz gar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki
maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib
sharm tumko magar nahin aati

Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....

Koyi dost hai na koi rakeeb hai
Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai

Aaj ujaali ki kiran kho gayi
zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din
jab humne unse umeed rakha
Aaj yeh khoob ho gaya
ki humain mohabbat se nafrat ho gayi

Is hasrat se mila kya mujhko
Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko
Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko
Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko
Ik raah jeene ki hamvaar si.

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...

Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa kah raha hai zamana Khudara meri qabr pe tum na aana tumhen dekh kar shaq karega zamana Chehre pe haseen chaa jati hai Aankhon main suroor aaa jata hai Jab tum mujhe apna kahte ho Apne pe ghuroor aa jata hai Wada to ker lete hain Nibhana bhool jate hain Lagaaa kar aaag seene main Bujhana bhool jate hain Kuchh na kisi se bolenge tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bhaid na kholenge jeevan zahar bharaa saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz' maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey... Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay... Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'... Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain Aisa lagta hai zindagi.... tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen par ghana andhera hoon... Aasmaanon-ki chandni tum ho Ab koi aarzoo nahin baaki......... justajoo meri aakhri tum ho Doston-se wafa ki ummeeden!........ Kis zamaane ke aadmi tum ho? Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai ....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai .... Dekh kar log mujhe naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai ..... Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...Sabir Jalalabadi Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........ Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........ Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai ..... Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ... Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ... Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon aur honge tere baazaar mein bikne vaale ...... Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...Saeed rahi Gul mohar ki kataar jaisi ho, Wadiyon main bahaar jaisi ho, Paayalo.n ki chum chum chum si, Chand meri yaar , kaisi ho? Khoob aati hai jab bhi aati hai, Yaad teri bahot sataati hai, Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n, Teri soorat ubhar ke aati hai Raat bhar neend hi naa aaye to , Ashq aankhon main chhal chhalaaye to, Kyaa hua hai bataaiye kaise, Yaad koi bahot hi aaye to Tumne Bhi Rangoli Sajayi Hogi Matwaali Diwaali Manayi Hogi Bujha Hua Chirag Dekhkar Humari Yaad to Aayi Hogi Hum Jaise Barbaad Dilo Ka Jeena Kya Aur Marna Kya Aaj Teri Mehfil Se Uthe Hai Kal Duniya Se Uth Jaayenge Kuchh na kisi se bolenge, tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa, saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin, tera bhaid na kholenge jeevan zahar bharaa saagar, kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz', maut aai to so lenge..... Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa....... Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa.... Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ......... kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa..... ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa... ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....Ahmed faraz kuchh na kisi se bolenge tanhaaii mein ro lenge hum be-rahabaron ka kyaa saath kisi ke ho lenge Khud to hue rusvaa lekin tera bhaid na kholenge jeevan zahar bharaa saagar kab tak amrit gholenge neend to kya aaegii 'Faraz' maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain... Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko... Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey... Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay... Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'... Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain Aisa lagta hai zindagi.... tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen par ghana andhera hoon... Aasmaanon-ki chandni tum ho Ab koi aarzoo nahin baaki......... justajoo meri aakhri tum ho Doston-se wafa ki ummeeden!........ Kis zamaane ke aadmi tum ho? Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai ....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai .... Dekh kar log mujhe naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai ..... Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...Sabir Jalalabadi Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........ Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........ Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din dil aap ke hote huye viraana hua hai .... Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai ..... Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ... Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho, mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ... Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........ Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon aur honge tere baazaar mein bikne vaale ...... Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...Saeed rahi Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai zindagi teri ik-ik adaa jurm hai aye sanam tere baare mein kuch sochkar apne baare mein kuch sochna jurm hai yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha bhool jana tujhe doosra jurm hai kya sitam hai ke tere hasin shehar mein har taraf gaur se dekhna jurm hai Sheeshe ke gharon main dekho to Putther dil wale buste hain Jo pyar ko khail samajhte hain Aur tor ke dil ko haste hain Gar hota woh saqi apni aankhon ke jaam ka Gar milta na saqi sharab-e-haraam ka Kiya ittefaaqat ne mujh ko barbaad wagarna Naam apna bhi hota aala muqaam ka Aur bhi cheezain bohot si lutt chukin hain dil kay saath Yeh batayaa doston ne ishq furmane kay baad Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon main Ek tere aane se pehley, ek tere jaane kay baad Kaate nahi kat te hain lamhe intezaar ke Nazarein jama ke baithe hain raste pe yaar ke Dil ne kaha dekhein jo jalwe husn-e-yaar ke Layaa hai koun inko, phalak se utaar ke Ishq ke lamhe sharaab lagte hain Kuch chehre mehtaab lagte hain Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue Ke har lamhe hi azaab lagte hain Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah Mast Nazron se dekh lenaa tha Agar tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki Chehrey Per Banawat Ka Gussa, Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai, Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai. Mere Dil Main Koi Aawaz Ubhar Aati hai Tere Hi Baal Bikhar Jaata Hain Diwaron Pe Teri Hi Shakal Kitabon Main Nazar Aati Hai Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi Teri Hi Yaad Main Gum Rahi Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai Jaise Chaahat Meri Kam Rahi Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar Apne Mehboob Ke Na Aane Par Kar Diya Taj Mahal Ke Tukre Aab-E-Jamuna Main Phaik Kar Pathar Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi Hota Nahi Humse Ishq Bayaan Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan Hum Bewafa Har Giz Na Thay Par Hum Wafa Kar Na Sakay Humain Mili Us Ki Saza Jo Khata Hum Kar Na Sakay Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai Kadam chun chun kar rakhti ho kamar balkha hi jaati hai Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo Mohbbat karna koi zulm nahi, Agar ki jaye usool se, Khuda ko bhi muhabbat thi, Apne rasoul se Chaand raaat ko sabhi dekhain, hilaal-e-eid ko Ik hamara hi naseeba hadiyan turva gaay Hum the chaand ke nazaare main khoye hue Bus achanak chand ka abba wahan pe aa gaya Hui hum se ye nadani, Kay teri mehfil mein aa baithe Ho kay zameen ki khakh Aasman se dil laga baithe Dil si cheez hai, dene ko hai de day Magar koi qabeel bhi to ho Hum to jaan de kay bhi khush hain Magar koi qateel bhi to ho Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi Kise majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain Jab Paas Ho To Rukh Se, Nigahain Na Morna Jab Dour Ho To Mera, Tasavvur Na Chorna Aye Dost!!! Dil Lagane Se Pehle Ye Sonch Le Mushkil Bahut Hai, Rishton Ki Zanjeerain hain Torna Dekha Jidhar Yeh Payaa, Aalam Hijaab Ka Jaali Ko Naam De Diya, Humne Niqaaab Ka Dukh Ki Tabash Hai, Dharkanain Tanhaiyan Bhi Hain Yeh Zindagi Hai Jaise, Din Ho Hisaab Ka Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah Ashq Mile To Pee Lete Hain Aap Kahe To Mar Jayen Hum Aap Kahe To Jee Lete Hain Hum To Hain Un Phoolon Jaise Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai Tumhi Kaho Ki Yeh Andaz-E-Guftagu Kya Hai Ragon Main Daurte Phirne Ke Hum Nahin Qayal Jab Aankh Se Hi Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De Yeh Bhi Aadab Hamare Hain, Tumhain Kya Malum Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha Aisa lagta hai zindagi tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho Ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho? Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge Zindagi Ki Raahon Mein Aise Mod Bhi Aate Hain Saawan Ke Saath-Saath Yehan Patjad Bhi Aate Hain Aasuwon Ke Saagar Mein Moti Bhi Milthe Hain Jo Unhe Doond lete hain, Wahi Zindagi Jee Lete Hain. Waqt Ke Saath Badal Jaaye Use Pyaar Nahi Kehte Musibat Se Jo Darr Jaaye Use Yaar Nahi Kehte Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi Bhoolne waale se koyi keh de zara is tarah yaad aane se kya faaida, Jab mere dil ki duniya basaati nahin phir khayaalon mein aane se kya faaida Kya kahoon aapse kitni umeeden thi Aap kya badle duniya badal si gayi, Aasra de ke dil tod te hain mera Is tarah sataane se kya faaida, Chaar tinke jala ke kya mil gaya Mit sakana zamane se mera nishaan, Mujhpe bijli girao to jaanu sahi Aashiaan par girane se kya faaida Ruth gya hai mujhko manane waala Ab koi nahi naaz mera uthaane wala Per jaane kya sonchta hai Yeh khula darwaaza Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala Rait par likh ke mera naam mitaya na karo aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo log har baat ka afsana bana lete hain sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin" dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo Humne kitni koshish ki unhe manane ki, Na Jaana Kaha se seekh li unhone Yeh Ada Zidd par utar jaane ki. Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga Yakeen Nahin To Dolee Se Jhankke Dekhna Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain Rukta bhi nahi, theek se chalta bhi nahi Yeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi Is umar key sehra say teri yaad ka baadal Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi, kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..... Koi ummeed bar nahin aati Koi soorat nazar nahin aati maut ka ek din muayyan hai need kyon raat bhar nahin aati aage aati thi hale dil pe hansi ab kisi baat par nahin aati janta hoon sababe-taato-zahad par tabeeat idhar nahin aati Hai kuchh aisi hi baat jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati kyon na cheehkoon ki yaad karte hain meri awaaz gar nahin aati marte hain aarzoo me marne ki maut aati hai par nahin aati kaba kis munh se jaoge Ghalib sharm tumko magar nahin aati Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya.. Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya... Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya..... Koyi dost hai na koi rakeeb hai Tera shaher kitna ajeeb hai Yahan kiska chehra pada karoon Yahan kaun itna qareeb hai Main kis se kahoon mere saath chal Yahan sab kay sar par saleeb hai Aaj ujaali ki kiran kho gayi zindagi veraan se ho gayi, gaye woh din jab humne unse umeed rakha Aaj yeh khoob ho gaya ki humain mohabbat se nafrat ho gayi Is hasrat se mila kya mujhko Ik jhalak mere dildaar ki Is muhabbat se mila kya mujhko Bechaini-o-beqarari yaar ki, Is ashiqui se mila kya mujhko Ik sunahari raah ishq ki, Aur tere pyaar se mila kya mujhko Ik raah jeene ki hamvaar si. Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki, badi aarzoo thi mulaqaat ki, Kaye saal se kuch Khabar hi nahin, kahaan din guzaaraa kahaan raat di, Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, musaafir ne jaane kahaan raat ki... Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana na jaane kahan kho gaya vo zamana tumhen bhuulane ki main koshish karunga ye vaada karo ke na tum yaad aana mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai tumhen bevafaa kah raha hai zamana Khudara meri qabr pe tum na aana tumhen dekh kar shaq karega zamana Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai Ke Zindagi Teri Zulfon Ke Naram Chaon Main Guzar Na Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi Yeh Teergee Jo Meri Zeesth Ka Muqaddar Hai Teri Nazar Ki Shu'aun Main Kho Bhi Sakti Thi Magar Yeh Ho Na Sakaa, Aur Ab Yeh Aalam hai Keh Tu Nahi, Tera Ghum, Teri Justaju Bhi Nahi Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise Isay kisi ke Sahaaray Ki Aarzoo Bhi Nahi Na Koi Yaadain, Na Manzil, Na Roshni Ka Surag Bhatak Rahi Hay Khyalon Main Zindagi Meri Inhee Khyalon Main Reh Jaaon Ga Kabhi Kho Kar Main Jantaa Houn Meri Hum-Nafas Magar Yu Heen Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai Main Aur Meri Tanhaiyan - Aksar Yeh Baatain Karte Hain Tum hoti to kaisa hota, Tum yeh kahti, tum woh kahti, Tum is baat pe hairaaan hoti, tum us baat pe kitna hasti, Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota, Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain, Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain Yeh chaand hai ya tumhara kangan, sitarain hain ya tumhara aanchal, Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo, Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai, Yeh sonchta hoon main kab se gum sum - Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......magar yeh dil hai ke kah raha hai Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !

Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi......
Sab ko bata dain.........

Ghar Se Nikalte Hi....Kuch Door Chalte Hi.............
Raste main hai uska ghar,
Kal subah dekha to, baal banati woh, khirki main aaaye nazar
ghar se nikalte hi..........
Masoom chehra, nichi nigahain....bholi si ladki, bholi adaayain
Na apsara hai, na woh pari hai
Lekin yeh uski.....jaadugari hai
Diwana kar de woh, is rang bhar de woh, sharma ke dekhe jidhar
ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi, raste main hai uska ghar.......
Karta hoon uske, ghar ke main phere
Hansne lage hain, ab dost mere....
such kah raha hoon, uski kasam hai.....
main phir bhi khush hoon, bus ek gham hai
jise pyar karta hoon, main jis pe marta hoon, Usi ko nahi hai khabar
ghar se nikalte hi......
Ladki hai jaise, koi paheli.....kal jo mili mujh ko uski saheli,
Maine kaha usko, jaa ke yeh kahna,
Atcha nahi hai, yoon door rahna,
Kabhi shaam nikle woh, ghar se tahalne ko, milna jo chahe agar....
Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi......raste main hai uska ghar......

Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Dariya ka saahil, pooray chaand ki raat ho,.... aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Pariyon ki mahfil, koyeee tumhari baaat ho,.....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Yeh naram mulaim thandi hawayain, Jub ghar se tumhare guzrain,
tumhari khushboo churayain, mere ghar le aayain,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Soooni her mahfil ho, koi na mere saath ho,.....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Yeh baadal aise toot ke barse, mere dil ki tarah tumhara dil bhi tarse tum niklo udhar se
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Tanhayeee ho, dil ho, ......boondain ho, barsaat ho....aur tum aaao,
Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho
Dariya ka sahil, poore chaand ki raat ho,.....aur tum aao,

Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho

Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile



Back