Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Romantic Songs




Jaye aap kahan jayeinge
aap kahan jayeinge
Ye nazar lautke phir aayegi

Aapko pyar mera yaad jahan aayega
Koyi kaanta wohi daaman se lipat jayega
Jaye aap kahan jayeinge
Ye nazar lautke phir aayegi

Dekhiye chain milega na kahin dil ke siva
Aapka koyi nahi koye nahi dil ke siva
Jaye aap kahan jayeinge
Ye nazar lautke phir aayegi
Door tak aapke pichey
Meri aawaaz chali jayegi
Jaye aap kahan jayeinge
Ye nazar laut ke phir aayegi



Tere bina jiya jaye na
Bin tere tere bin sajna
Saans me saans aaye na
Tere bina jiya jaye na
Tere bina jiya jaye na

Jab bhi khayaalon me tu aaye
Mere badan se khushboo aaye
Mehke badan me raha na jaye  Raha jaye na
Tere bina jiya jaye na
Tere bina jiya jaye na
Bin tere tere bin sajna
Saans me saans aaye na
Tere bina jiya jaye na
Tere bina jiya jaye na

Reshmi raatein roz na hongi
Ye saughaatein roz na hongi
Zindagi tujh bin raas na aaye Raas aaye na
Tere bina jiya jaye na
Tere bina jiya jaye na
Bin tere tere bin sajna
Saans me saans aaye na
Tere bina jiya jaye na



Ehsaan tera hoga mujhpar
Dil chahta wo kehne do
Mujhe tumse mohabbat hogayi hai
Mujhey palkon ki chhaayon me rehne do
Ehsaan tera hoga mujhpar

Tumne mujhko hasna sikhaya
Rone kahoge toleinge ab
Aansoo ka humare gam na karo
Wo behte hain to behne do
Mujhe tumse mohabbat hogayi hai
Mujhe palkon ki chhaayon me rehne de
Ehsaan tera hoga mujhpar

Chahe banado chahe mitado
Mit bhi gaye to deinge duaayein
Ud ud ke kahegi khaak sanam
Ye dard-e-mohabbat sehne do
Mujhe tumse mohabbat hogayi hai
Mujhey palkon ki chhaayon me rehne do
Ehsaan tera hoga mujhpar
Dil chahta hai jo kehne do
Mujhe tumse mohabbat hogayi hai
Mujhey palkon ki chhaayon me rehne do
Ehsaan tera hoga mujhpar



Aaj ki raat sajan mann chahe
Reheloon teri bahon me
Sajan teri bahon me
Aaj ki raat sajan mann chahe

Ab ke bichde jaane phir kab
Mile bichdi rahon me
Aaj raat sajan mann chahe
Reheloon teri bahon me

Mere haathon pe rehne se
Aaj to haathon ke saaye
Ik ik pal anmol hai apna
Dhadkan ye kehti jaye
Aaj ki raat sajan mann chahe
Reheloon teri bahon me



Churaliya hai tumne jo dil ko
Nazar nahi churana sanam
Badal ke meri tum zindagani
Kahin badal na jana sanam
leliya dil ou hai mera dil
Hai re dil lekar mujhko na behlana
Churaliya hai tumne jo dil ko
Nazar nahi churana sanam
Badal ke meri tum zindagani
Kahin badal na jana sanam

Bahaar banke aayoon kabhi tumari dunia me
Guzar na jayein ye din kahin isi tamanna me
Tum mere ho haan tum mere ho
Aaj tum itna waada karte jana

Churaliya hai tumne jo dil ko
Nazar nahi churana sanam
Badal ke meri tum zindagani
Kahin badal na jana sanam

Sajayoonga lutkar bhi teri badan ki daali ko
Lahoo jigar doonga haseen labon ki laali ko
Hai wafa kya is jahan ko
ek din dikhladoongaMain deewana
Churaliya hai tumne jo dil ko
Nazar nahi churana sanam
Badal ke meri tum zindagani
Kahin badal na jana sanam
Leliya dil hai mera dil
Hai re dil lekar mujhko na behlana
Churaliya hai tumne jo dil ko
Nazar nahi churana sanam
Badal ke meri tum zindagani
Kahin badal na jana sanam



Ye dil deewana hai
dil to deewana hai
deewana to hai dil di hai
ye dil deewana hai

Kaisa bedardi hai iski to marzi hai
Jabtak jawani hai rut ye suhaani hai
Nazrein juda na hon armaan khafa na hon
Dilkash baharon me chupke chinaron me
Yehin sada hum tum baithe rahe gum sum
Ye dil deewana hai
dil to deewana hai
deewana to hai dil di hai
ye dil deewana hai

Bechain rehta hai chupke se kehta hai
Mujhko dadhkne do shola badhkne do
Kaaton me kaliyon me saajan ki galiyon me
Phera lagane do shodo bhi jaane do
Kho to na jayoonga main laut ke aayoonga
Dekha suna samjhe acha bahan hai  ye dil
Ye dil deewana hai
dil to deewana hai
deewana to hai dil di hai
ye dil deewana hai

Saawan ke aate hi baadal ke chhaate hi
Phoolon ke mausam me phoolon ke mausam me
Chalti hai purwayi milte hi tanhayi
Uljaake baaton me kehta hai raaton me
Yaaron main khojayoon jaldi se saujayoon
Kyounke sawariya ko sapne me aana hai ye dil
Ye dil deewana hai
dil to deewana hai
deewana to hai dil di hai
ye dil deewana hai



Jil mil sitaron ka aangan honga
Rhim jhim barasta saawan hoga
Aisa sundar sapna apna jeewan hoga

Prem ki gali me
Ik chota sa ghar banayeinge
Kaliyan na mile na sahi
Kaaton se sajayeinge
Baghia se sundar goban hoga
Rhim jhim barasta saawan hoga
Jil mil sitaron ka aangan honga
Rhim jhim barasta saawan hoga

Teri ankhon se sara sansaar main dekhoongi
Dekhoongi is paar main us paar main dekhoongi
Nainon ke tera hi dharshan hoga
Rhim jhim barasta saawan hota
Jil mil sitaron ka aangan honga
Rhim jhim barasta saawan hoga

Phir to mast hawayon ke hum
Jhonke banjayeinge
Nainon se sundar sapnon ke jharonke banjayeine
Mann aashayon ka darpan hoga
Rhim jhim barasta saawan hoga
Aisa sundar sapna apna jeewan hoga



Sayan legayi jiya teri pehli nazar
Kaisa jadu kia tune mope o jadugar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar

Pehle laga tu ik sapna sa
Ab to lage tu mohe apna sa
Lechal haath pakad kar sajna
Chahe jidar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar
Kaisa jadu kia tune mope o jadugar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar

Aagayi balam teri baton me
Kya hai najane teri aankhon me
Bhool gayi main pyar me tere apni dhagar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar
Kaisa jadu kia tune mope o jadugar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar

Janu ke tu harjayi hai
Sochoon to aankh milayi hai
Lekin tujhko dekh rahi na kuch bhi khabar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar Kaisa jadu kia tune mope o jadugar
Sayan legayi jiya teri pehli nazar



Ye koun aaya
Roshan hogayi mehkil kiske naam se
Ye koun aaya
Mere ghar me jaise suraj
Nikla ho shaam se Ye koun aaya

Yaadein hai kuch aayi si
Ya kirnein lehrayi si
Dil me soye geeton ne
Lee hai phir angarayi si
Armaanon ki madhura chalki
Anhkiyon ke jaam se
Ye koun aaya
Roshan hogayi mehfil kiske naam se
Mere ghar me jaise suraj
Nikla hai shaam se ye koun aaya

Aahat pe halki halki
Chhati dadhke paayal ki
Har bori pe naam uska
lehrein puche aanchal ki
Chupke chupke radha koyee
Puche apne shaam se ye koun aaya

Kya kahiye is aani ko
aaya hai tarsane ko
Dekha usne has has ke
Har apne begane ko
Lekin kitna beparwa hai
Mere hi salaam se
Ye koun aaya
Roshan hogayi mehgil kiske naam se
Mere ghar me jaise suraj
Nikla hai shaam se ye koun aaya



Baali umar ne mera haal wo kia
Jaan chudali maine dil dediya
Ho rabba dard-e-jigar ne mera
Haal wo kia
Jaan chudali maine dil dediya(refrain)

Ghoongat banaye kitne maine
Thaani chunar se
Kitna chupi main teri pehli nazar se
Pehli nazar ne mera haal wo kia
refrain

Nikla na bahar main to
Sheeshe ke ghar se
Darta raha main saari dunia ke darr se
Dunia ke darr ne mera haal wo kia
Refrain

Main tha akela koyi saathi agar tha
Gum ye akele pan ka mera humsafar tha
Main thi akeli koyi saathi agar tha
Gum ye akele pan ka mera humsafar tha
Baali umar ne mera haal wo kia
Jaan chudali maine dil dediya
Ho rabba dard-e-jigar ne mera
Haal wo kia
Jaan chudali maine dil dediya



Aaja piya tohe pyar doon
Gori bayan tope waar doon
Kis liye tu itna udaas
Suke suke honthe anhkiyon me pyaas
Kis liye・kis liye・
Aaja piya tohe pyar doon
Gori bayan tope waar doon

Jal chuke hain badan kayi
Piya isi raat me
Thake huye in haathon ko
Dede mere haath me
Sukh mera lele main dukh tere leloon
Main bhi jiyoon tu bhi jiye
Aaja piya tohe pyar doon
Gori bayan tope waar doon

Hone de Path tere
Palkon se chun daloongi main
Kaante tere payon ke
Lat bikhraye chunariya bichhaye
Baithi hoon main kis liye
Aaja piya tohe pyar doon
Gori bayan tope waar doon
Kis liye tu itna udaas
Suke suke honthe anhkiyon me pyaas
Kis liye・kis liye・
Aaja piya tohe pyar doon
Gori bayan tope waar doon

Apni to jab ankhiyon se
Behchali ik daar si
Khil chali
Main jo nahi haari piya zara socho
Kis liye・kis liye・
Aaja piya tohe pyaar doon
Gori bayan tope waar doon



Chaand si mehbooba ho meri
Kab aisa maine socha tha
Haan tum bilkul waisi ho
Jaise maine socha tha(refrain)

Na kasme hain na rasmein hain
Na shikwe hain na waade hain
Ik surat bholi bhali hai
Do nainan seedhe saadhe hain
Aisa hi roop khayaalon me tha
Jaisa maine socha tha
Refrain

Meri khushiyan hi na baante
Mere gam bhi sehna chahe
Dekhe na khaab wo mehlon ke
Mere dil me rehna chahe
Is dunia me koun tha aisa
Haan tum bilkul waisi ho



Main to kabse khadi is paar ke ankhiyan
Thak gayi phank nihaar aaja re pardesi

Main diye ki aisi baati
Jal na saki jo bhuj bhi na paati
Aa mil mere jeewan saathi

Aaja re pardesi
Ke ankhiyan thak gayee phank nihaar aaja re pardesi・

Tum sang janam janam ke phere
Bhool gaye kyoun saajan mere
Tarpat hoon main saanj sawere
Aaja re pardesi

Main nadiya phir bhi main pyaasi
Bhed ye gehra baat zara si
Bin tere har aas udaasi
Aaja re pardesi
Main to kabse khadi is paar
Ke ankhiyan thak gayi phank nihaar aaja re pardesi



Hume aur jeene ki chahat na hoti
Agar tum na hote agar tum na hote

Tume kya batayoon ke tum mere kya ho
Meri zindagi ka tumhi aasara ho
Main aasha ki ladiyan na rehe rehe piroti
Agar tum na hote agar tum na hote

Har ik gam tumara saheinge khushi se
Kareinge na shikwa kabhi bhi kisise
Jahan mujhpe hasta khushi mujhpe roti
Agar tum na hote agar tum na hote



Tune o rangeele kaisa jadoo kia
Piya piya bole matwala jiya
Bahon me chupake ye kya kia o re piya

Paas bulake gale se lagake
Tune to badal daali dunia
Naye hain nazare Naye hain ishare
Rahi na wo kal wali dunia
Sapne dikhake ye kya kiya o re piya
Tune o rangeele kaisa jadoo kia
Piya piya bole matwala jiya

O mere saajan kaisi ye dadhkan
Shor machane lagi mann me
Jaise lehraye nadiya ka paani
Lehar uthe re mere tann me
Mujhme samake ye kya kiya or piya
Tune o rangeele kaisa jadoo kia
Piya piya bole matwala jiya
Bahon me chupake ye kya kia o re piya
Tune o rangeele kaisa jadoo kia
Piya piya bole matwala jiya



Ye raat bheeghi bheeghi 
ye mast fizayein
utha dheere dheere 
wo chaand pyara pyara
kyoun aag si lagake 
gum sum hai chandni
saune bhi nahi deta 
mausam ka ye ishara

ikhalati hawa neelam sa gagan
kaliyon pe ye behoshi si nami
aise me bhi kyoun bechain hai dil
jeewan me na jane kya hai kami

jo din ke ujale me na mila
dil doonde aise sapne ko
is raat ki jag mag me doobi
main doond rahi hoon apne ko

aise me kahin kya koi nahi
bhoole se jo humko yaad kare
ik halki si muskaan se
jo sapnon ka jahan abaad kare



Mausam hai aashiqana 
Eh dil kahin se unko
Aise me doond lana
Mausam hai aashiqana

Kehna ke rut jawaan hai
Aur hum taras rahe hain
Kali ghata ke chhaye
Birhan ko das rahe hain
Darr hai na maar dale
Saawan ka kya theekana
Mausam hai aashiqana

Suraj kahin bhi jaye
Tum par na doop aaye
Tumko pukaarkte hain
In kesuyon ke saaya
Aajayo main banadoon
Palkon ka shaamiyana
Mausam hai aashiqana

Phirte hain hum akele
Bahon me koi lele
Aakhir koi kahan tak
Tanhayon se khele
Din hogaye hain zaalim
Raatein hain kaatilana
Mausam hai aashiqana

Ye raat ye khamoshi
Ye khaab se nazare
jugnu hain ya zameen par
Utare huye hain taare
Bekhaab meri aankhein
Madhosh hai zamana
Mausam hai aashiqana
Eh dil kahin se unko 
Aise main doond lana
Mausam hai aashiqana



Ye dil aur unki nigahon ke saaye
Mujhe gher lete hain bahon se saaye

Pahadon ko chanchal kiran chumti hai
Hawa har nadi ka badan chumti hai
Yahan se wohan tak hai chaahon ke saaya
Ye dil aur unki nigahon ke saaye
Mujhe gher lete hain bahon se saaye

Lipate ye peeron se badal ghanere
Ye pal pal ujaley ye pal pal andherey
Bohat thandi thandi hai rahon ke saaye
Ye dil aur unki nigahon ke saaye
Mujhe gher lete hain bahon se saaye

Dadhkte hai dil kitne aazaadiyon se
Bohat milte julte hain in waadiyon se
Mohabbat ke rangeen panahon ke saaye
Ye dil aur unki nigahon ke saaye
Mujhe gher lete hain bahon se saaye



Waadiyan mera daaman 
Raaste meri bahein
Jayo mere siwa tum kahan jayoge
Waadiyan mera daaman

Jab hase gi kali rang wali koyi
Aur chup jayegi tumpe daali koi
Sar jhukaye huye tum mujhe payoge
Waadiyan mera daaman raaste meri bahein
Jayo mere siwa tum kahan jayoge

Chal rahe ho jahan is nagar se pare
Wo daghar to guzarti hai dil se mere
dagmagte huye tum yehi aayoge
Waadiyan mera daaman
Raaste meri bahein
Jayo mere siwa tum kahan jayoge
Waadiyan mera daaman



Tume main agar apna saathi banaloon 
Batado mera saath doge kahan tak
Zameen se jahan aasmaan mil raha hai
Na shodeinge daaman tumara wohan tak

Yahan har kadam par nayi dilkashi hai
Kahan tak tumara bharosa karoon main
Duaa ke benoor hojayein aankhein
Kisi aur ki jo tamanna karoon main

Salamat hai jab tak ye zulfon ke saaye
To phir kisko jannat ka aarmaan hoga
Tumare hi kadmon me marna hua 
To ye marna mujhe kitna aasaan hoga



Aaja sanam madhur chandni me hum tum mile 
To veerane me bih aajayegi bahar 
Jhoomne laga ka aasmaan 
Kehta hai dil aur machalta hai dil
More saajan lechal mujhe taaron ke paar
Lagta nahi hai dil yahan

Bheegi bheegi raat me 
Dil ka daaman thaam le
Khoyi khoyi zindagi 
Har dam tera naam le
Chaand ki behki nazar 
Keh rahi hai pyar kar
Zindagi hai ik safar 
Kon jaane kal kidhar

Dil ye chaahe aaj to
Badal ban udd jayoon main
Dulhan jaisa aasman
Dharti par lee aayoon main
Chaand ka dhola saje
Doom taron me hasse
Jhoom ke dunia kahe
Pyar me do dil mile



Ye raat bheeghi bheeghi 
Y mast fizayein
Utha dheere dheere 
Wo chaand pyara pyara
Kyoun aag si lagake 
Gum sum hai chandni
Saune bhi nahi deta 
Mausam ka ye ishara

Ikhalati hawa neelam sa gagan
Kaliyon pe ye behoshi si nami
Aise me bhi kyoun bechain hai dil
Jeewan me na jane kya hai kami

Jo din ke ujale me na mila
Dil doonde aise sapne ko
Is raat ki jag mag me doobi
Main doond rahi hoon apne ko

Aise me kahin kya koi nahi
Bhoole se jo humko yaad kare
Ik halki si muskaan se
Jo sapnon ka jahan abaad kare



Aapki nazron ne samjha pyar ke kabil mujhe
Dil ki eh dadkan thehar jaa mil gayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha

Jee hume manzoor hai apka ye faisla
Kehe rahi hai ik nazar banda parwar shukria
Haske apni zindagi me karlia shaamil mujhe
Dil ki eh dadkan thehar jaa milgayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha

Aapki manzil hoon main meri manzil aap hain
Kyoun main toofanon se darroon mera sahil aap hai
Koi toofanon se kehde milgaya sahil mujhe 
Dil ki eh dadkan thehar jaa milgayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha

Pargayi dil par mere aapki parchhaiyan
Har tarf bajne lagi senkro shehnaiyan
Do jahan ki aaj khushiyan hogayi hasil mujhe
Dil ki eh dadkan thehar jaa milgayi manzil mujhe
Aapki nazron ne samjha



Tu tu hai wohi dil ne jise apna kaha
Tu hai jahan main hoon wahan
Ab to ye jeena tere bin hai saza
Ho・ mil jayein is taran
Do lehrein jis taran
Phir hon na juda haan ye wada raha

Main aawaaz hoon to tu hai geet mera
Jahan se nirala mann meet mera 
Ho mil jayein is taran
Do lehrein jis taran
Phir hon na juda haan ye wada raha

Kisi modd pe bhi na ye saath tootey
Mere haath se tera daaman na chhootey
Kabhi khaab me bhi tu mujhse na roothey
Mere pyar ki koi khushiyan na lootey
Ho mil jayein is taran
Do lehrein jis taran
Phir hon na juda haan ye wada raha

Tujhe main jahan nazar se churaloon
Kahin dil ke kone me tujhko chupaloon
Kabhi zindagi me padein mushkilein to
Mujhe tu sambhale tujhe main sambhaloon
Ho mil jayein is taran
Do lehrein jis taran
Phir hon na juda haan ye wada raha



Mehboob mere mehboob mere
Tu hai to dunia kitni haseen hai
Jo tu nahi to kuch bhi nahi hai
Mehboob mere

Tu ho to badh jati hai keemat mausam ki
Ye jo teri ankhein hain chola shabanam si
Yehin marna bhi hai mujhko mujhe jeena bhi yehin
Mehboob mere mehboob mere
Tu hai to dunia kitni haseen hai
Jo tu nahi to kuch bhi nahi hai
Mehboob mere

Armaan kisko jannat ki rangeen galiyon ka
Mujhko tera daaman hai bistar kaliyon ka
Jahan par hain teri bahein meri jannat bhi wohin hai
Mehboob mere mehboob mere
Tu hai to dunia kitni haseen hai
Jo tu nahi to kuch bhi nahi hai
Mehboob mere

Rakhde mujhko tu pana deewana kar
Nasdeek aaja phir dekhoon tujhko jee bhar ke
Mere jaise honge lakhon koi bhi tujhsa nahi hai
Mehboob mere mehboob mere
Tu hai to dunia kitni haseen hai
Jo tu nahi to kuch bhi nahi hai
Mehboob mere



Mera chaand mujhey aaya hai nazar
Eh raat zara tham tham ke guzar
Chhaaya hai nasha meri aankhon par
Eh raat zara tham tham ke guzar
Mera chaand mujhey aaya hai nazar

Mere dil me hai armaan kayi kayi
Meri chahat hai abhi nayi nayi
Rehe jaye na pyasa pyar mera
Meri bahon me bhar de pyar mera
Itna sa karam tu kar mujhpar
Eh raat zara tham tham ke guzar
Mera chaand mujhey aaya hai nazar

Abhi labon ko labon ne chuaa nahi
Armaan koi poora hua nahi
Abhi aas ka gulshan khilna
Abhi do jismon ko milna hai
Dekhoonga abhi main wo manzar
Eh raat zara tham tham ke guzar
Mera chaand mujhey aaya hai nazar