Bahut Khoobsurat ho tum,Bahut Khoobsurat ho tum Kabhi mai jo kah doon muhabbat hai tumse,to mujhko khudara galat na samjhna, ki meri zaroorat ho tum,Bahut Khoobsurat ho tum
Hain phoolon ki daali yeh baahen tumhari,hai khaamosh jaadoo nigaahen tumhari Jo kaante hon sab apne daaman mein rakh loon,sajaaaon mai kaliyon se raahen tumhari Nazar se zamane ki khud ko bachana,kissi aur se dekho dil na lagana ki meri amanat ho tum, bahut khoobsurat ho tum
Hai Chehra tumhara ke din hai hai tumhara,aur oos par yeh kaali ghataaaon ka pahra gulaabon se nazuk mahakta badan hai,yeh lab hain tumhare ki khilta chaman hai bikhre jo zulfen to sharmaye baadal,farishte bhi dekhen to ho jaayen paagal woh Paakeeza moorat ho tum,bahut khoobsurat ho tum
Jo bankar kali muskuraati aksar,shabbe hijar mei roolati hai aksar jo lamhon hi lamhon mein duniyan badal de, jo shayer ko deti hai pahloo gazal ki chchupana jo chahe,chchupaayi na jaaye,bhulaana jo chahen bhulaayi na jaaaye woh pahli muhabbat ho tum, Bahut Khoobsurat ho tum...
Har shaqs ko insaan samjh lete hain Log urdu ko musalmaan samjh lete hain Mausam wahi nazren wahi..aur hum bhi wahi Andhen hain woh log ,jo in ankhon mein pakistan samjh lete hain..
Ankhon mein tere koi karishma zaroor hai, Tu jisko dekh le woh machalta zaroor hai Khoshboo ke phailne se is tarah na sharmaao tum, Ke is umar mein yeh badan mahakta zaroor hai.
Aaj woh bhi ishq ke maare nazar aane lage, Onki bhi neend oor gayi, onko bhi taare nazar aane lage Ankh viraan,dil pareshan,zulf beraham,lub khamosh Ab to kuch aur bhi pyaare nazar aane lage
Duniya ke sitam Yaad,na apni hi wafa yaad, Ab mujhko nahin kuch bhi muhabbat ke siwa yaad, Muddat huii ik Haadsa-e-Ishq ko lekin, Ab tak hai tere dil ke dharakne ki sadaa yaad.
Ek roz jaa rahe the kahin cycle se hum Pahunche jo ek mor par to naazil huwa sitam Paidle se cycle ke,paon ookhar gaye Hum jaa ke ek Shoq haseena se lar gaye Sambhli jo woh taqte se,fauran ukhar gayin goya huwee to jaise hawaaon se lar gayin Kahne lagin andhe hain aata nahi nazar Yeh harkaten janaab ki yeh reshe motbar Chalte hain shareefon ki surat bana kaar aap Daari rakh kar girte hain youn aurton par aap Maine kaha Thhook do yeh gusse ko nazneen Cycle lari hai aapse daari nahi lari Daari ka naam lekar kyon ho tokti Daari koi BREAK thi jo Cycle ko rokti