Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Back to Lyrics



"Papa Kehte Hain"

From the Hindi Movie "Qayamat Se Qayamat Tak"



Doston, aaj college ka aakhri din hai
Aur aane waali zindagi ke liye
Sabhi ne kuch na kuch soch rakha hai
Lekin maine apne liye kuch nahin socha hai
No really I mean it
Aur aaj, aaj mujhe baar baar ek hi khayaal aa raha hai

Papa kehte hain bada naam karega
Beta hamaara aisa kaam karega
Magar yeh to
Koi na jaane
Ke meri manzil hai kahaan (Papa)

Baithe hain milke
Sab yaar apne
Sab ke dilon mein armaan yeh hai(2)
Voh zindagi mein kal kya banega
Har ek nazar ka sapna yeh hai
Koi engineer ka kaam karega
Business mein koi apna naam karega
Magar yeh to koi na jaane
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega

Mera to sapna
Hai ek chehra
Dekhe jo usko jhoome bahaar(2)
Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam
Aankhon mein jaadu, honton mein pyaar
Banda yeh khoobsurat kaam karega
Dil ki duniya mein apna naam karega
Meri nazar se dekho to yaaron
Ke meri manzil hai kahan
Papa kehte hain bada naam karega