|
Shayar. . .
Yeh
yakayak kya hua hai ,
Dil mera shaa'ir hua hai !
Koi
khushboo hai hawaa main , Aaj khush khush si zameen
hai.
Baadalon ke paar nikali,
Ik subah jaise nayi hai.
Chand kehata hai chalo ,
Kuchh mod ke aage khushi hai,
Ab khatam hone ko hain,
Jo dooriyan tumane sahi hai.
Pyaas
ki lambi talashen,
Manzilon tak aa gayin hai,
Itne saalon se nibhayin,
Ab kasam kitni rahi hai.
Peed
si uthatee hai jaise,
Hain mere jaanib yahin hai ,
Kyon achanak tokataa hai ,
Mann mujhe kyaa yeh sahi hai.
Hook
uthatee hai magar ,
Thahare qadam uthate nahin hain ,
Poochane ko naam uska,
Lafz milate hi nahin hain .
Zindgi
bhar bandagi ki ,
Ab mua kaafir hua hai ,
Dil mera kaayar hua hai,
Yeh achanak kya hua hai,
Dil mera shaa'ir hua hai.
Raj 5.5.99
|
|