 |
Aandhiyon main aur chaliye ,
Lad_khadate ab kahaan tak ,
Ek aawaraa dhuain se ,
Udiye kis kis aasmaan tak .
Gham ki gehari khaaiyo.n main,
Aur bahiyega kahaa.n tak,
Haath main angaar rakhiye,
Aur kitane Imtihan tak.
Dhoondhane ke silsile dil,
Aur kitane kaarwaa.n tak,
Chal chalai.n ab to safar par,
Is jahaa.n se us jahaa.n tak.
|